Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics
Track 02
JahaN baani ‘ata kar deyN bhari jannat hibaa kar Deen
Nabi Mukhtaar-e-kul hain jis ko jo chaahe ‘ata kar Deen
JahaaN meiN Un ki chalti hay woh dam meiN kya se kya kar Deen
ZameeN ko aasmaN kar Deen surayya ko saraa kar Deen
Fazaa meiN uRhney waaley yuN na itraayeN nidaa kar Deen
Woh jab chaaheyN jisey chaaheyN usey farmaaN rawaa kar Deen
Meri mushkil ko yuN aasaaN mere mushkil kushaa kar Deen
Har ik mouj-e-balaa ko mere maulaa nakhuda kar Deen
Munawwar meri aankhoN ko mere Shamsu-duhaa kar Deen
GhamoN ki dhoop meiN wo saaya-e-zulf-e-dutaa kar Deen
‘Ataa ho beykhudi mujhko khudi meri hawaa kar Deen
Mujhey yuN apni ulfat meiN mere maulaa fanaa kar Deen
JahaaN meiN ‘aam payghaam-e-Shah-e-Ahmad Raza kar Deen
Palat kar peechey dekheN phir se tajdeed-e-wafaa kar Deen
Nabi se jo ho begaanaa usey dil se juda kar Deen
Pidar, maadar, biraadar, maal-o-jaaN un par fidaa kar Deen
Tabassum se gumaaN guzrey shab-e-taareek par din ka
Ziyaa-e-rukh se deewaaroN ko roshan aayinaa kar Deen
Kisi ko woh hansaatey haiN kisi ko woh rulaatey hain
Woh yunhi aazmatey haiN woh ab to fayslah kar Deen
Gil-e-taybah meiN mil jaauN guloN meyN mil ke khil jaauN
Hayaat-e-jaawedaani se mujhey yuN aashna kar Deen
UnheN manzoor hai jab tak ye dour-e-aazmaesh hay
Na chaaheyN to abhi woh khatm dour-e-ibtilaa kar Deen
Sag-e-aawaarah-e-sahra se uktaa si gaee dunya
Bachaao` ab zamaaney ka sagaan-e-Mustafaa kar Deen
Mujhey kya fikr ho AKHTAR mere yaawar haiN woh yaawar
Balaao`N ko jo meri khud giraftaar-e-balaa kar Deen
Ralated Kalam e Tajusharia
Pee ke jo mast hogaya Kalam e Tajusharia lyrics
kalam e tajushariya naat lyrics