Daman me yun chupa lo lyrics:
Daman me yun chupa lo digar ko khabar na ho
Horo malak ko jinno bashar ko khabar na ho
Jannat me ayese pahunchon saqar ko khabar na ho
Pul se utaru Raha Guzar ko Khabar Na ho
Jibreal par bhichaye Tu par ko khabar naho.
Dar Dar Ki Thookaroon se khudaya bacha hameen 😰🙏💧
Sadqa hassan husain ka karde ata hameen
Dunya ke ranj o gam se tu karde riha hameen
Ayesa Guma Dee Unki Wila Me khuda hameen
Dhoonda kare par apni khabar ko khabar naho.
Ummat se piyar tera na aye shumaar me
Rakha na Eik Pal bhi kabhi intezaar me
Be cheen qalb Aaya Usi Bekarar mein
Fariyaad ummati Jo Kare Haal e Zaar Mein
Mumkin nahi ke khair e Bashar ko Khabar naho.
Daur E Khazaa Ki Zadd Me Hai is figaar ka
Muddat hui ke moo'n nahi dekha Bahar Ka
Daste huzoor me hai sharaf iqteyaar Ka
Kaanta Mere Jigar Se Gam E Rooz Gaar ka
Yoo'n kheench lijiye ke Jigar Ko khabar Na ho.
Jinka muqaam karte bayan hain Shah e Zamaa'n
Kaise phir unki shan bayan kar sake zubaa'n
Khud mustafa ( صلی اللہ علیہ وسلم) ne maula Ali par kiya Aayaa'n
Farmate hain ye Dono hain Sardar e Dojahaa'n
Aye murtaza! Atique o umer ko Khabar Naho.
Imaan hai ke koi khuda se bada Nahi
Maheboob hain wo khuda ke magar khuda nahi
Hukm e shara me sajda bhi unko hua nahi
Aye Shaoq e dil ! Gar ye sajda unko rawa nahi
Acha! Wo sajda kijiye ke sar ko khabar Naho.
Ahebaab ubeed jaa'n Chidakte hain jo yahaa'n
Hoonge Barooz e Hashr kisi ke bhi wo kahaa'n
Maa Baab kaam Ayenge na Aulaad Bhi wahaa'n
Unke Siwa Raza Koi Hami Nahi Jahaa'n
Guzra kare pisar pe pidar ko khabar Naho.
Releted naat lyrics
Rozo shab joosh pe rahmat ka hai darya tera lyrics
sartaba qadam hai tazmeen lyrics abdul wasi