Aye Sarwar E Kaunain Teri Baat Alag Hai Lyrics
Nabiyo'N Me Rasoolo'n me teri zaat alag hai
Aye sarwar e kaunain teri baat alag hai.
Ek Tukde pe ho jayega naslon ka guzara
Sarkar ke darbaar ki khairaat alag hai.
Raatein To mubarak hain bahot aur bhi lakin
Meraj ki jo raat hai wo raat alag hai.
Ye sach hai koi toor ka mahmaan bana tha
Maheboob o muhibb ki to mulaqaat alag hai.
Moosa ko tajalli se nawaza gaya be shak
Aaqa pe inayaat ki barsaat alag hai.
Yoon dhoom machaya ho koi aur to bolo
Meraj ke us noor ki barat alag hai.
Namoos e risalat pe fana kar diya khud ko
Ahmad raza ke ishq me kuch baat alag hai.
Nara to lagate hain bahut loog raza ka
Gulzar mere naaron me jazbaat alag hai.
RELATED POST ✍️👇