sartaba qadam hai tazmeen lyrics abdul wasi:
Wo ban me khadam rakhden Tu Banjata hai Ban Phool
Jis phool ko wo chooleen wo rashke chaman phool
Main kiyon kahoon ke sirf hai Aaqa ka dahan phool
Sartaba khadam hai tane sultane zaman phool
Lab phool dahan zaqan phool badan phool.
Aaraam gunaahagaar ko ek pal nahi milta
Sarse mere aalaam ka suraj nahi dhalta
Main kiya karon sarkar mera bass nahi chalta
Tinka bhi hamare Tu hilaye nahi hilta
Tum chaho Tu hujaye abhi kohee mihan phool.
Allah ne sarkaar ki wo shan banai
Wallah koi karna nahi sakta hai badai
Hairan hui deekh ke ye saari khudai
Dandano labo zulf o rukhe shah ki fidai
Hai durre Adan laal e yaman mushkhe khutan phool.
Hai malik e kul rashke jahan shahe rasollaan
Maheboob e khuda noor e khuda rahemat e yazdaan
Hai arze ahebaab naho mujh se parishan
Hoon baare gunah se na khajil dooshe azezan
Lillah meri naash kar aye jaane chaman phool.
Kahta hai bashar apni tarah wo hai kamina
Dikhlao use shahr e barely ka qarina
Us hashmi sadiq Ne badi baat kahi na
Wallah jo mil jaye mere gul ka pasina
Maange na kabhi itr na phir chahe dulhan phool.
Aauqat wasi teri nahi tere khalam ki
Mat pocheye hai kaise tazneem rakham ki
Ye khas inayat hai nawason ke khadam ki