Pages

Ya Nabi Nazre Karam Farmana Aye Hasnain Ke Nana

Ya Nabi Nazre Karam Farmana Naat Lyrics.

Ya Nabi Nazre Karam Farmana 
Aye Hasnain ke nana Aye Hasnain ke nana
Zuhra paak ke sadqe ham ko
 taiba main bulwana 
Aye Hasnain ke nana Aye Hasnain ke nana.

Aap ke Dar ka main Hoon bhikari 
Aap hain mere daata 
Saare rishte naaton se hai 
Piyara apna naata 
Aap too Aata hai jinko 
Subki laaj nibhaana 
Aye has hasnain ke Nana,  Aye hasnain ke Nana. 

Be saaya hai lakin Woh 
Jag par hai aapka saaya 
Arsh-e-mo'alla bana Mohallla 
Deed ko rab ne bulaya 
Hashar tak na huga kisi ka 
Ayesa aana Jaana.
Aye hasnain ke Nana,  Aye hasnain ke Nana. 

Sajh Gayi hai meelad ki mahfill 
Kiya hai qoob nazara 
Kaifo masti main dooba hai 
Dekho alam saara 
Dhoond rahi aapki rahemat 
Bakhshish ka bahana.
Aye hasnain ke Nana, Aye hasnain ke Nana.

Nisbat ka faizan hai dekho 
Khadim-e-gaus-jali hoon 
Karta hai mujh pe Naaz Zamana 
Main ausaat-Ali hoon 
Aap ki Aal ka Dar ka sag hoon 
Aur sahil hoon puraana 
Aye hasnain ke Nana, Aye hasnain ke Nana.

ya nabi naat lyrics
nazr e karam lyrics.

More famous kalam 

ya nabi nazre karam farmana qari rizwan lyrics 

Naat qawan : milad Raza 

 

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment