Aastan hai ye kis shah e zeeshan ka lyrics:
Aastan hai ye kis shah e zeeshan ka marhaba marhaba
Qalb haibat se larza hai insaan ka marhaba marhaba
Hai asar bazm me kis ke faizan ka marhaba marhaba
Ghar basane meri chashme weeraan ka marhaba marhaba
Chand nikla hassan ke shabistaan ka marhaba marhaba.
Qalb haibat se larza hai insaan ka marhaba marhaba
Hai asar bazm me kis ke faizan ka marhaba marhaba
Ghar basane meri chashme weeraan ka marhaba marhaba
Chand nikla hassan ke shabistaan ka marhaba marhaba.
2. Sarki zeenath imama hai irfaan ka marhaba marhaba
Jubba tan pe muhammad ( sallal laahu alaa muhammad) ke ahsaan ka marhaba marhaba
Rang aankhon me zahra ke faizan ka marhaba marhaba
Roop chahre pe aayaate quran ka marhaba marhaba
Sajke baitha hai nausha hai jeelan ka marhaba marhaba.
3. Shamme tauheed dil me jala kar piyo dil laga kar piyo
Shahe kausar ki khairaat pakar piyo dil laga kar piyo
Shaik ke aastane pe aakar piyo dil laga kar piyo
Aankh maher ali se mila kar piyo dil laga kar piyo
Khud pilane pe saqi hai jeelaan ka marhaba marhaba.
4. Sadqa zahra ke bacchon ka khakar piyo dil laga kar piyo
Hubbe ashaab dil me basa kar piyo dil laga kar piyo
Rang khud pe raza ka chhada kar piyo dil laga kar piyo
Aaj hasti ko apni mita kar piyo dil laga kar piyo.
Khud pilane pe saqi hai jeelaan ka marhaba marhaba.
5. Gulshan e mustafa ( sallal lahu ala muhammad) ki phaban aur hai ye chaman aur hai
Shahe abrar ki anjuman aur hai ye chaman aur hai
Booye dasta -e- panjatan aur hai ye chaman aur hai
Shaane aale husain o hassan aur hai ye chaman aur hai
Sarmadi rang hai is gulistaan ka marhaba marhaba.
6. Mazhar e zaate rabbe qadeer aap hain dastageer aap hain
Karwane karam ke ameer aap hain dastageer aap hain
Shahe baghdado peeran e peer aap hain
Is naseer e haseer e aap hain dastageer aap hain
Koi hamsar nahi aapki shaan ka marhaba marhaba.