Sarkar e gause azam nazre karam khudara lyrics:
Sarkar e gause azam nazre karam khudara
Mera khali kaasa bhardo main faqeer hoon tumahara.
Jhooli ko meri bhardo warna kahegi dunya
Aayese sakhi ka mangta phirta hai mara mara.
Gausulwara ka mangta
Khawja piya ka mangta phirta hai mara mara.
Subka koi na koi dunya me aasra hai
Mere bajuz tumahara koi nahi sahara.
Maula ali ka sadqa ganj shakar ka sadqa
Meri laaj rakh lo yaa gause main gaqeer hoon tumahara.
Daman pasare darpe lakhon wali khade hain
Huta hai tere darse konen ka guzaara.
Meraan bane hain dollah mahfil saji hui hai
Sub auliya hain barati kiya khoob hai nazaara.
Ye Tera karam hai ya gause ke bulaya hai darpar
Kahan roosiya fareedi kahan Aastaan tumahara.
Sarkar e gause azam nazre karam khudara lyrics