jahan bani ata karde lyrics
2. JAHAN BAANI 'ATA KAR DEN
JahaN baani ‘ata kar deyN bhari jannat hibaa kar deyN
Nabi Mukhtaar-e-kul haiN jis ko jo chaaheN ‘ata kar deyN.
JahaaN meiN Un ki chalti hay woh dam meiN kya se kya kar deyN
ZameeN ko aasmaN kar deyN surayya ko saraa kar deyN.
Fazaa meiN uRhney waaley yuN na itraayeN nidaa kar deyN
Woh jab chaaheyN jisey chaaheyN usey farmaaN rawaa kar deyN.
Meri mushkil ko yuN aasaaN mere mushkil kushaa kar deyN
Har ik mouj-e-balaa ko mere maulaa nakhuda kar deyN.
Munawwar meri aankhoN ko mere Shamsu-duhaa kar deyN
GhamoN ki dhoop meiN wo saaya-e-zulf-e-dutaa kar deyN.
‘Ataa ho beykhudi mujhko khudi meri hawaa kar deyN
Mujhey yuN apni ulfat meiN mere maulaa fanaa kar deyN.
JahaaN meiN ‘aam payghaam-e-Shah-e-Ahmad Raza kar deyN
Palat kar peechey dekheN phir se tajdeed-e-wafaa kar deyN.
Nabi se jo ho begaanaa usey dil se juda kar deyN
Pidar, maadar, biraadar, maal-o-jaaN un par fidaa kar deyN.
Tabassum se gumaaN guzrey shab-e-taareek par din ka
Ziyaa-e-rukh se deewaaroN ko roshan aayinaa kar deyN.
Kisi ko woh hansaatey haiN kisi ko woh rulaatey haiN
Woh yunhi aazmatey haiN woh ab to fayslah kar deyN.
Gil-e-taybah meiN mil jaauN guloN meyN mil ke khil jaauN
Hayaat-e-jaawedaani se mujhey yuN aashna kar deyN.
UnheN manzoor hai jab tak ye dour-e-aazmaesh hay
Na chaaheyN to abhi woh khatm dour-e-ibtilaa kar deyN.
Sag-e-aawaarah-e-sahra se uktaa si gaee dunya
Bachaao` ab zamaaney ka sagaan-e-Mustafaa kar deyN.
Mujhey kya fikr ho AKHTAR mere yaawar haiN woh yaawar
Balaao`N ko jo meri khud giraftaar-e-balaa kar deyN.
Khawaja hind wo Darbar hai Aala Tera Monqabat Gareeb Nawaz kalam e Tajusharia