Naat Sharif Kalam e Taaj e Shariat
Wo badta saya e rahmat chala zulf e Mu'ambar ka
Hame abb dekhna hai hawala qurshed e mahshar ka.
Jo be perda nazar ajaye jalwa roye Anwar ka
Zara sa moon nakal aye abhi qurshed e khawar ka.
Shah e kausar tar ham tishna e dedaar jata hai
Nazar ka jaam de perda rukhe purnoor se sarka.
Adab gahist zair e aasmaan az arsh nazuk tar
Yahan ate hain yoon arshi ke aawaza nahi par ka.
Hamari simt wo Maher e madina mahirbaan aaya
Abhi khul jayega sub hawala qurshed e mahshar ka.
Chamak sakta hai tu chamke muqabil unki tal at ke
Hame bhi dekhna hai hawsla qurshed e mahshar ka.
Rawan ho salsabeel ishq e sarwar mere sene main
Naho phir naar ka kuch gam na dar qurshed e mahshar ka.
Tera zara wo hai jisne khilaye in Gant Taare
Tera qatra wo hai jis se mila dhara samandar ka.
Batana tha ke nature unke zair e paa musaqar hai
Bana pathar main yoon naqshe kafe paa mere sarwar ka.
Wo zahir ke bhi Hakim hai wo batin ke bhi sultan Hain
Nirala toor sultani hai shahoon ke sikandar ka.
Ye sunle saya e jism payamber dhonde ne wale
Bashar ke shakal main degar hai wo paikar payambar ka.
Wo zille zaat e rahmaan hain nabowat ke mahe tabaan
Na zil ka zil kahen dekha na saya mah o akhatar ka.
Written by : janashen e ala hazrat hozor Mufti azam hozor Mufti Akhtar raza khan qadri azhari.