Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Tazneem Lyric sayed abdul wasi :
Kaun hai jo ilteja na kare
Kaun unke liye mara na kare
Kaun ro ro ke ye dua na kare
Dil ko unse khuda juda na kare
Be kasi loot lee khuda na kare.
Ishq ka sar pe dal kar le gilaf
Baat ahle khird ye sunle saaf
Kaam hai kaun saa shara ke khilaf
Hoosh me jo nahu wo kiya na kare.
Raat din ham guna me dube hain
Jurm jitne hain saare karte hain
Phir bhi aaqa kareem ayese hain
Ke wahi hain ke bakhs dete hain
Kaun in jurmon par saza na kare.
Ishq ne kardiya mujhe mashhoor
Unki yaadoon se zahen hai maamoor
Mujh ko is baat pe hai fakhr zaroor
Dil me roshan hai shamme ishq e huzoor
Kaash jooshe hawas hawa na kare.
Zakham seene ke saare seene ko
Jo yahan mar rahe they jeene ko
Aye wasi jaame ishq peene ko
Lee Raza sub Chale Madine ko
Main Na jaon Are Khuda Na kare.
Releted post 👇👇✍️