ye shahre mustafa hai lyrics in english:
Ye shahre mustafa hai madina kareem hai
Sub ko nibha raha hai madina kareem hai.
Kiyon na kareem hai ye aaqa kareem ka
Maskan jo ban gaya hai madina kareem hai
Sub ko nibha raha hai madina kareem hai.
Phaila ke apni bahen bulata hai baar baar
Rahemat ka daira hai madina kareem hai.
Sub ko nibha raha hai madina kareem hai.
Tukdon pe unke palte hain shah o gada subhi
Sufra lagaya hua hai madina kareem hai.
Sub ko nibha raha hai madina kareem hai.
London dubai o Sydney Paris nahi nahi
Dil jispe mar mita hai, madina kareem hai. 🩷
Sub ko nibha raha hai madina kareem hai.
Hai zarf Lajawab karam be misaal hai
Mujh jaisa Aagaya hai madina kareem hai.
Sub ko nibha raha hai madina kareem hai.
Jannat bhi mujh ko aap ke khadmon me mil gai
Kaisa karam hua hai madina kareem hai.
Sub ko nibha raha hai madina kareem hai.
Kiya maangon mustafa se ujagar dili muraad
Sub kuch tu de diya hai madina kareem hai.
Ye shahre mustafa hai madina kareem hai
Sub ko nibha raha hai madina kareem hai.
Mujh par ameer e taiba ne ayesa karam kiya
Phir izn mil raha hai madina kareem hai.