baghdad hai pyara lyrics english:
baghdad hai pyara baghdad hai pyara
Har ashiq e sarkar ka matloob wahi hai
Allah ke maheboob ka maheboob wahi hai
Ek baar jo deekh aaye wo jata hai dubara
Baghdad hai piyara baghdad hai piyara.
Rahmat ka khazina hain wo bagdad ki galiyan
Tasweer e madina hai wo bagdad ki galiyan
Jannat ka nageena hai wo bagdad ki galiyan
Bahta hai sada rahmat o anwar ka dhara.
Baghdad hai piyara baghdad hai piyara.
Chadar wahan rahti hai tani hasaini husaini
Har seemt wahan chhaon mili hasaini husaini
Khoshbo hai fazaon me basi hasaini husaini
Bagdad ka dullah hai ali ka bhi dulara.
Baghdad hai piyara baghdad hai piyara.
Baghdad hai piyara baghdad hai piyara.
Us darki mahubat hai madine ki mahubat
Us darki ki inayat hai madine ki inayat
Jo deekh le bagdad lagata hai ye naara
Baghdad hai piyara baghdad hai piyara.
Us shaher e muqdas se haseen koi nahi hai
Mere liye har zarra wahan mahe jabeen hai
Rauza hai bade peer ka ya noore mubeen hai
Mil jaye wasi wo usi chaukhat ka utara.
Baghdad hai piyara baghdad hai piyara.