80. WOH SARWAR-E-KISHWAR-E-RISAALAT
Woh sarwar-e-kishwar-e-risaalat jo arsh par jalwah gar huwe thay,
Naye niraale tarab kay saamaan ‘Arab key mehman kay liye thay.
Bahaar hay shaadiyaan mubaarak chaman ko aabaadiyan mubaarak,
Malak falak apni apni lay mein yeh ghar ‘anaa dil ka boltay thay.
Wahaan falak par yahaan zameen mein rachi thi shaadi machi thi dhoomein,
Udhar say anwaar hanstay aatay idhar say nafhaat utth rahay thay.
Yeh chhoott parrti thi unkay rukh ki kay ‘arsh tak chaandni thi chhatki,
Woh raat kya jagmaga rahi thi jagah jagah nasab aainay thay.
Nayi dulhan ki phaban main ka’aba nikhar kay sanwara sanwar kay nikhraa,
Hajar key sadqay kamar key ik til main rang laakhon baanaw key thay.
Nazar main dulhaa key pyaaray jalway hayaa say mehraab sar jhukaayae,
Siyaah parday kay munh par aanchal tajalliy-e-zaat-e-bahat say thay.
Khushi kay baadal umand kay aaye dilon kay taaoos rang laaye,
Woh naghmaa-e-na’at ka samaan tha Haram ko khud wajd aa rahe thay.
Yeh jhooma Meezaab-e-zar ka jhoomar ki aa raha kaan par dhalak kar,
Phuhaar barsi to moti jhar kar Hateem ki gaud mein bharey thay.
Dulhan ki khushboo say mast kapray naseem-e-gustaakh aanchlon say,
Ghilaaf-e-mushkeen jo ur raha tha ghazaal naaf-e-basa rahay thay.
Pahaariyon ka woh husn-e-Taz’een woh oonchi choti woh naaz-o-tamkeen,
Sabaa say sabzah main lehrein aateen dupattay dhaani chunay huye thay.
Nahaa kay nehron nay woh chamakta libaas aab-e-rawaan kaa pehna,
Kay maujein chhariyaan thi dhaar lachkaa habaab-e-taabaan kay thal tikey thay.
Puraana purdaagh malgajaa tha utthaa diya farsh chaandni kaa,
Hujoom-e-taare nigah say koson qadam-qadam farsh baadley thay.
Ghubaar ban kar nisaar jaayein kahaan ab uss rah guzar ko paayein,
Hamaaray dil hooriyon ki aankhein farishton kay par jahaan bichhe thay.
Khuda hee day sabr jaan-e-purgham dikhaaoon kyoon kar tujhay woh ‘aalam,
Jab unko jhurmat mein lay kay qudsi jina kaa dulha bana rahay thay.
Utaar kar unkay rukh ka sadqa yeh noor ka bat raha tha baara,
kay chaand suraj machal machal kar jabeen ki khairaat mangtay thay.
Wohi to ab tak chalak raha hay wohi to joban tapak raha hay,
Naahanay may jo gira tha paani katoray taaron nay bhar liye thay.
Bachaa jo talwon ka unkay dhowan banaa woh Jannat ka rang-o-rogan,
Jinhon nay dulhaa ki payi utran woh phool gulzaar-e-noor kay thay.
Khabar yeh tehweel-e-maher ki thi kay rut suhaani gharri phiray gee,
Wahaan ki poshaak zeb-e-tan ki yahaan ka joraa barhaa chukay thay.
Tajalliy-e-Haq ka sehra sar par salaat-o-tasleem ki nichaawar,
Do ruya qudsi parey jamaa kar kharey salaami kay waastey thay.
Jo hum bhi waan hotay khaak-e-gulshan lipat kay qadmon say letey utran,
Magar karein kya naseeb main to yeh naamuraadi kay din likhay thay.
Abhi na aaye thay pusht-e-zeen tak kay sar hui maghfirat ki shillak,
Sadaa shafaa’at nay di mubaarak! gunaah mastaana jhoomtay thay.
‘Ajab na tha rakhsh ka chamakna ghazaal-e-dam khurdah saa bharakna,
Shu’aaein bukkay urraa rahi theen tarapte aankhon pay saa’iqay thay.
Hujoom-e-ummeed hay ghataao muraadein day kar inhein hataao,
Adab ki baagein liye barhaao malaaika may yeh ghal-ghale thay.
Utthi jo gard-e-rah-e-munawar woh noor barsaa kay raaste bhar,
Ghiray thay baadal bharay thay jal thal umand kay jungle ubal rahay thay.
Sitam kya kaisi mat kati thi qamar woh khaak unkay rah guzar ki,
Utthaa na laaya kay maltay maltay yeh daagh sab dekhta mitey thay.
Buraaq kay naqsh-e-sum kay sadqe woh gul khilaaye kay saarey rastey,
Mehaktay gulban mehaktay gulshan hare bhare lahlaha rahe thay.
Namaaz-e-Aqsa mein tha yehi sir ‘ayaan ho ma’ni-e-awwal aakhir,
Kay dast basta hain pichey haazir jo saltanat aagay kar gaye thay.
Yeh unki aamad ka dab-daba tha nikhaar her shaiy ka ho raha tha,
Nujoom-o-aflaak jaam-o-meena ujaaltay thay khangaaltay thay.
Naqaab ultay woh mehr-e-anwar jalaal rukhsaar garmiyon par,
Falak ko haibat say tap charrhi thi tapaktay anjum kay aablay thay.
Yeh joshish-e-noor ka asar tha key aab-e-gohar kamar kamar tha,
Safaa-e-rah say phisal phisal kar sitaare qadmon pay laut tey thay.
Barhaa yeh lehra kay behr-e-wahdat key dhul gaya naam-e-raige kasrat,
Falak key teloon ki kiya haqeeqat yeh arsh-o-kursi do bulbule thay.
Woh zill-e-rehmat woh rukh key jalwe key taare chupte na khilne paate,
Sunehri zarbaft udi atlas yeh than sab dhoop chaaon key thay.
Chalaa woh sarve-e-chamaan khiraamaan na ruk saka sidrah say bhi daaman,
Palak jhapakti rahi woh kab kay sab aen-o-aan say guzar chuke thay.
Jhalak see ik qudsiyon par aayi hawa bhi daaman ki phir na paayi,
Sawaari dulha ki door pohonchi baraat main hosh hi gaye thay.
Thakay thay Rooh-ulAmeen key baazu chhuta woh daaman kahaan woh pehloo,
Rikaab chhooti ummeed tooti nigaah-e-hasrat key walwaley thay.
Rawish ki garmi ko jis ney socha dimaagh say ik bhabuka phoota,
Khir’ad key jungle mein phool chamka dahar dahar payr jal rahe thay.
Jilo mein jo murgh-e-aqal uray thay ‘ajab buray haalon girtay partay,
Woh sidrah hee par rahey thay thak kar charhaa thaa dam tewar aa gaye thay.
Qavi they murghan-e-waham kay par uray to urnay ko aur dam bhar,
Utthaayi seenay ki aisi tthokar kay khoon-e-andesha thoo’ktay thay.
Suna yeh itnay mein ‘arsh-e-Haq nay kay lay mubaarak ho taaj waaley,
Wohi qadam khair say phir aaye jo pehle taaj-e-sharaf tere thay.
Yeh sunkay baay khud pukaar uttha nisaar jaaon kahaan hain Aaqa,
Phir unkay talwon ka paaoon bosa yeh meri aankhon kay din phire thay.
Jhukaa tha mujre ko ‘arsh-e-aa’la gire they sajde may bazm-e-baala,
Yeh aankhein qadmon say mal raha tha woh gird-e-qurbaan ho rahay thay.
Ziyaaein kuch ‘arsh par yeh aayin kay saari qindeelen jagmagaayi,
Huzoor-e-khursheed kya chamaktay charaagh moonh apna dekhtay thay.
Yehi samaa(n) tha kay paik-e-rehmat khabar yeh laaya kay chaliye Hazrat,
Tumhaari khaatir kushaada hain jo kaleem per band rastaay thay.
Barh aay Muhammad صلى الله عليه وسلمqareen ho Ahmad صلى الله عليه وسلمqareeb aa sarwar-e-mumajjad,
Nisaar jaaon yeh kya nida thi yeh kya samaa(n) tha yeh kya mazay thay.
Tabaarakallah shaan teri tujhi ko zaiba hay bayniyaazi,
Kahin to woh josh-e-lan-tarani kaheen taqaazay wisaal kay thay.
Khirad say keh do kay sar jhukaa lay gumaan say guzray guzarnay waalay,
Pare hain yaan khud jaihat ko laalay kisay bataaye kidhar gaye thay.
Suraagh ain-o-mataa kahaan tha nishaan-e-kaif-o-ilaa kahaan tha,
Nah koi raahi nah koi saathi nah sang-e-manzil nah marhalay thay.
Udhar say payham taqaazay aana idhar tha mushkil qadam barhaana,
Jalaal-o-haibat ka saamna tha jamaal-o-rehmat ubhaartay thay.
Barhay to lekin jhi-jhaktay dartay hayaa say jhuktay adab say ruktay,
Jo qurb unhi ki ravish pay rakhtay to laakhon manzil kay faaslay thay.
Par unka barhna to naam ko tha haqeeqa’tan fail tha udhar ka,
Tanazzulon mein taraqi afza dana tadalla key silsilay thay.
Huwa nah aakhir kay aik bajra tamoojay bahr-e-hoo mein ubhra,
Danaa ki godi mein unko lekar fana kay langar uttha diye thay.
Kisay milay ghaat ka kinara kidhar say guzra kahaan utaara,
Bhara jo misl-e-nazar taraaraa woh apni aankhon say khud chupay thay.
Utthay jo Qasr-e-danaa kay parde koi khabar dey to kya khabar day,
Wahaan to jaa hee nahin duee ki na keh kay woh bhi na thay aray thay.
Woh baagh kuch aisa rang laaya kay guncha-o-gul ka farq utthaya,
Girah mein kaliyon ki baagh phoolay gulon kay tukmay lagay huay thay.
Muheet-o-markaz mein farq mushkil rahe na faasil khutoot-e-waasil,
Kamaanein hairat mein sar jhukaaye ‘ajeeb chakkar mein daaeray thay.
Hijaab utthnay mein laakhon parde har aik parday main laakhon jalway,
‘Ajab ghari thi kay wasl-o-furqat janam kay bichray galay milay thay.
Zabaanein sookhi dikha kay mojein tarap rahi thi kay paani paayein,
Bhanwar ko yeh zofay tashnagi tha kay halqay aankhon mein par gaye thay.
Wohi hay awwal wohi hay aakhir wohi hay baatin wohi hay zaahir,
Usi kay jalway usi say milnay usi say uski taraf gaye thay.
Kamaan-e-imkaan kay jhootay nuqto tum awwal akhir ki phair mein ho,
Muheet ki chaal say to poochho kidhar say aaye kidhar gaye thay.
Udhar say thi(n) nazr-e-shah namaaz’ein idhar say in’aam-e-khusravi mein,
Salaam-o-Rehmat kay haar gundh kar guloo-e-pur noor mein paray thay.
Zabaan ko intezaar guftan to gosh ko hasrat-e-shuneedan,
Yahaan jo kehna tha keh liya tha jo baat sun ni thi sun chukay thay.
Woh burj-e-bat-ha ka maah-paarah bahesht ki sair ko Sidhaara,
Chamak pay tha khuld ka sitaarah kay uss qamar kay qadam gaye thay.
Suroor-e-maqdam ki roshni thi keh taabishon say mah-e-‘arab ki,
Jinaan kay gulshan thay jhaar farshi jo phool thay sab kanwal banay thay.
Tarab ki naazish kay haan lachakiye adab woh bandish kay hil na sakiye,
Yeh josh-e-zideen tha keh paudey kashaa kash-e-arrah kay talay thay.
Khuda ki qudrat keh chand Haq kay karoron manzil mein jalwa kar kay,
Abhi na taaron ki chhaaon badli keh noor kay tarkay aa liye thay.
Nabi-e-Rehmat Shafi’-e-Ummat RAZA pay Lillaah ho ‘inaayat,
Isay bhi unn khil’atoon say hissa jo khaas rahmat kay waan bate thay.
Sanaa-e-Sarkaar hay wazifa qabool-e-Sarkaar hay tamanna,
Na shaa’iri ki hawas na parwah rawi thi kya kaisay qafiye thay.