Pages

Shukr E Khuda Ki Aaj Ghari Us Safar Ki Hai Naat Lyrics

 8. SHUKR-E-KHUDA KEY AAJ GHARRI USS SAFAR KI HAY 


Shukr-e-Khuda key aaj gharri uss safar ki hay,

Jis par nithaar jaan falaah-o-zafar ki hay.


Garmi hay tapp hay dard hay kulfat safar ki hay,

Na shukr ye to dekh ‘azeemat kidhar ki hay.


Kis khaak-e-paak ki tu banee khaak-e-paa shifa,

Tujhko qasam janaab-e-maseeha key sar ki hay.


Aabe hayaat-e-ruh hay 'zarqa' ki boond boond,

Akseer a'zam-e-mase dil khaak dar ki hay.


Humko to apne saaye main aaram hi sey laaye,

Heele bahaane waalon ko ye raah dar ki hay.


Lut-te hain maare jaate hain yun hi suna kiye,

Har baar di wo aman key ghairat hadar ki aai.


Wo dekho jagmagati hay shab aur qamar abhi,

Pehron nahin key bast-o-chaharum safar ki hay.

Maah-e-Madīnah apni tajalli ataa kare,

Ye dhalti chandni to pehar do pehar Ki Hay.


Mann Zaara-Turbatee Wajabat Lahu Shafaa'ati,

Un par Durood jinse naveed in bushar ki hay.


Usske tufail Hajj bhi Khuda ne kara diye,

Asl-e-muraad haazri iss paak dar ki hay.


Ka'abe ka naam tak na liya Taybah hi kaha,

Poocha tha humse jisne key nuhzat kidhar ki hay.


Ka'aba bhi hay inhin ki tajalli ka aik zill,

Roushan inhin key aks sey Putli hajar ki hay.


Hote kahaan Khaleel-o-bina Ka'aba-o-Mina,

Low laak waale Saahibi sab tere ghar ki hay.


Maula Ali ne waari teri neend par Namaz,

Aur woh bhi Asr sabse jo aa’la khatar ki hay.


Siddeeq balke ghaar main jaan uss pe de chuke,

Aur hifz-e-jaan to jaan furuz-e-ghurar ki hay.


Haan tu ne unko jaan unhain pher di namaz,

Par woh to kar chuke the jo karni bashar ki hay.


Saabit hua key jumla faraiz furu'u hain,

Aslul usool bandagi uss taajwar ki hay.


Shar khair, shor sur, sharar door, naar nur,

Bushra key baargaah ye khairul bashar ki hay.


Mujrim bulaye aaye hain 'Jaaooka' hay gawah,

Phir rad ho kab ye shaan kareemon key dar ki hay.


Bad hain magar unhi key hain baaghi nahin hain hum,

najdi na aaye usko ye manzil khatar ki hay.


Tuf najdiyat na kufr na Islam sab pe haraf,

Kafir idhar ki hay na udhar ki adhar ki hay.


Haakim hakeem daado dawa dain ye kuch na dain,

Mardood ye muraad kis aayat khabar ki hay. 


Shakl-e-bashar mein noor-e-Ilahi agar na ho,

Kya qadr uss khameera-e-maao madar ki hay.


Noor-e-Ilaah kya hay mahabbat Habeeb ki,

Jis dil main ye na ho wo jagah khouk-o-khar ki hay.


Zikre Khuda jo unse judaa chaaho najdiyo,

Wallāh zikre Haq nahin kunji saqqar ki hay.


Be unke waaste key Khuda kuch ‘ataa kare,

Haashaa ghalat ghalat ye hawas be-basar ki hay.


Maqsood ye hay Aadam-o-Nooh-o-Khaleel Se,

Tukhme karam main saari karaamat thamar ki hay.


Unki Nubuwwat unki ubuwwat hay sabko aam,

Ummul bashar aroos unhin key pisar ki hay.


Zaahir main mere phool Haqeeqat mein mere nakhl,

Uss gul ki yaad main ye sadaa bul bashar ki hay.


Pehle ho unki yaad keh paaye jila namaz,

Yeh kehti hay azaan jo pichle pehar ki hay.


Duniya mazaar hashr jahaan hain Ghafoor hain,

Har manzil apne chaand ki manzil Ghafar ki hay.


Un par Durood jinko hajar tak karain salaam,

Un par Salaam jinko Tahiyyat shajar ki hay.


Un par Durood jinko kasse be-kasan kahain,

Un par Salaam jinko khabar be-khabar ki hay.


Jinn-o-bashar salaam ko haazir hain assalaam,

Yeh bargaah maalik-e-jinn-o-bashar ki hay.


Shams-o-qamar salaam ko haazir hain assalaam,

Khubi unhin ki jyot sey shamso qamar ki hay.


Sab bahr-o-bar salaam ko hazir hain assalaam,

Tamlik unhin key naam to har bahr-o-bar ki hay.


Sang-o-shajar salaam ko haazir hain assalaam,

Kalme sey tar zabaan darakht-o-hajar ki hay.


Arzo athar salaam ko hazir hain assalaam,

Malja ye baargah dua-o-athar ki hay.


Shorida sar salaam ko hazir hain assalaam,

Raahat unhin key qadmon main shorida sar ki hay.


Khasta jiggar salaam ko hazir hain assalaam,

Marham yahin ki khaak to khasta jigar ki hay.


Sab khushk-o-tar salaam ko hazir hain assalaam,

Ye jalwa gaah maalik-e-har khushk-o-tar ki hay.


Sab karro far salaam ko hazir hain assalaam,

Topi yahin to khaaq pe har karro far ki hay.


Ahl-e-nazzar salaam ko hazir hain assalaam,

Ye gard hi to surma sab ahl-e-nazzar ki hay.


Aansu bahaa keh beh gaye kaale gunah key dher,

Haathi dubao jheel yahaan chashm-e-tar ki hay. 


Teri qaza khaleefa-e-ahkaame zil jalaal,

Teri RAZA haleef qaza-o-qadar ki hay.


Yeh pyaari pyaari kyaari tere khaana baagh ki,

Sard uski aab-o-taab sey aatish saqar ki hay.


Jannat main aa key naar main jaata nahin koi,

Shukr-e-Khuda naweed najaat-o-zafar ki hay.


Mo'min hun mo'minon Pe Rauf-o-Raheem ho,

Saa-il hun saa-ilon ko khushi laa-nahar ki hay.


Daaman ka waasta mujhe uss dhoop sey bachaa,

Mujhko to shaaq jaaron main iss dopehr ki hay.


Maa donon bhai bete bhateeje azeez dost,

Sab tujhko soumpe milk hi sab tere ghar ki hay.


Jin jin muraadon key liye ahbaab ne kaha,

Peshe khabeer kya mujhe haajat khabar ki hay.


Fazle Khuda sey ghaib-e-shahadat hua unhe,

Iss par shahaadat aayat-o-wahi-o-athar ki hay.


Kehna na kehne waale the jab sey tu ittela'a,

Maula ko Qowl-o-Qaail-o-har khushk-o-tar ki hay.


Unn par kitaab utri bayaanan li-Kulli Shay,

Tafseel jis main maa abar wa maa ghabar ki hay.


Aage rahi ‘ataa wo baqadr-e-talab to kya,

‘Aadat yahaan ummeed sey bhi beshtar ki hay. 


Be maange dene wale ki ne'mat me gharq hain,

Maange sey jo mile kise feham iss qadar ki hay.


Ahbaab iss sey barh key to shaayad na paayein arz,

Naa karda ‘arz ‘arz ye tarze digar ki hay.


Dandaan kaa naat khwaan hoon na paayaab hogi aab,

Naddi galey galey mere aab-e-guhar ki hay.


Dashte Haram main rehne de sayyaad agar tujhe,

Mitti azeez bulbul-e-be-baal-o-par ki hay.


Yaa Rabb RAZA na Ahmad-e-parina hoke jaay,

Ye baargah tere Habeeb-e-Abar ki hay.


Taufeeq de key aage na paida ho khu-e- bad,

Tabdeel kar jo khaslat-e-bad peshtar ki hay.


Aa kuch sunaa de ishq key bolon main aay RAZA,

Mushtaq tab-e- lazzat-e-soz-e-jigar ki hay.


Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment