Pages

Kis key jalwe ki jhalak hay yeh ujaala kya hai lyrics

65. KIS KEY JALWE KI JHALAK HAY YEH UJAALA KYA HAY 


Kis key jalwe ki jhalak hay yeh ujaala kya hay,

Har taraf deedah-e-hairat zadah taqta kya hay.


Maang man maanti moonh maangi muraadein lega,

Na yahan “naa” hay na mangta sey yeh kehna “kya hay”.


Pand karrwi lage naaseh sey na tarsh ho aay nafs,

Zahr-e-isiyan mein sitamgar tujhe meetha kya hay.


Hum hain unke woh hain terey to huwe hum tere,

Is sey barh kar teri simt aur waseela kya hay.


Unki ummat mein banaaya unhe rehmat bheja,

Yoon na farma key tera reham mein da’waa kya hay.


Sadqa pyaare ki haya ka keh na lo mujh sey hisaab,

Baksh be pooche lajaaye ko lajaana kya hay.


Zaahid unka mein gunehgaar woh mere shaafi’,

Itni nisbat mujhe kya kam hay to samjha kya hay.


Be-basi ho jo mujhe pursishe aa’mal key waqt,

Doston kya kahoon us waqt tamanna kya hay.


Kaash fariyaad meri sunke yeh farmayein Huzoor,

Haan koi dekho yeh kya shor hay ghowgha kya hay.


Kaun aafat zadah hay kis pe balaa tooti hay,

Kis musibat mein gireftaar hay sadma kya hay.


Kis sey kehta hay ki Lillaah khabar lijiye meri,

Kyoon hay betaab yeh be-chaini ka rona kya hay.


Uski be-chaini sey hay khaatir-e-aqdas pe malaal,

Bekasi kaisi hay poocho koi guzra kya hay.


Yoon malaik karein ma’arooz ki ek mujrim hay,

Us sey pursish hay bataa tune kiya kya kya hay.


Saamna qaher ka hay daftar-e-aa’mal hay pesh,

Dar raha hay key Khuda hukm sunaata kya hay.


Aap sey karta hay fariyaad key Yaa Shah-e-Rusul,

Banda bekas hay shahaa reham me waqfa kya hay.


Ab koi dum mein gireftaare balaa hota hoon,

Aap aa jayein to kya khauf hay khatka kya hay.


Sun key yah ‘arz meri bahr-e-karam josh mein aayay,

Yun malaaik ko ho irshaad t-haherna kya hay.


Kis ko tum maurid-e-aafaat kiya chaahte ho,

Hum bhi toh aa key zara dekhein tamaasha kya hay.


Unki aawaz pe kar utthu mein besaakhta shor,

Aur tarap kar yeh kahoon ab mujhe parwa kya hay.


Lo woh aaya mera haami mera gham-khwaar-e-umam!

Aa gayi jaan tan-e-be jaan mein yeh aana kya hay.


Phir mujhe daaman-e-aqdas me chupaalein Sarwar,

Aur farmaayein hatto is pe taqaaza kya hay.


Banda aazaad shudah hay yeh humare dar ka,

Kaisa lete ho hisaab iss pe tumhara kya hay. 


Chhor kar mujh ko farishte kahe mahkoom hain hum,

Hukm-e-waala ki na ta’meel ho Zuhra kya hay.


Ye samaa(n) dekh key mehshar mein utthe shor key waah,

Chashm-e-bad door ho kya shaan hay rutbah kya hay.


Sadqe us rehm key us saayaa-e-daaman pe nisaar,

Apne bande ko musibat sey bachaaya kya hay.


Aay RAZA jaan-e-‘anaadil terey naghmon key nisaar,

Bulbul-e-baagh-e-Madinah tera kehna kya hay.

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment