Pages

Kaam rukne ka nahi aye Dil E Nadaan Koi lyrics

Kaam rukne ka nahi aye Dil E Nadaan Koi lyrics 

Kaam rukne ka nahi aye Dil E Nadaan Koi 

Parda E Gaib Se ho jayega Samaan Koi.


Arz Unse Karo Dil Ka mere Armaan koi 

Abb Madine me mile hamko bhi Ramzan koi.


Saare Nabiyoon ki Badi Azmatoon rif'at hain magar 

Na bana unke siwa Arsh ka mahemaan koi.


Baar isyaan kd sabab hugaya halka palla 

Baksh waye mujhe Aakar saare Mizaan koi.


Dare jana ki huzoori jo mayussar ho mujhe 

Phir na Baaqi Rahe Dil me mere Armaan koi.


Meri khashti ke nighe baan hain gause Azam 

Aazman Lee meri Khashti kabhi koi tufaan koi.


Khawaja e hind ki darbaar ki hai baat badi 

Kabhi mayoos nahi laota pareshaan koi. 


Laakh Qanoon Banaloo aye siyasat Daano 

Hind se jaiga na hargiz musalman koi. 


Baage Hassaan ki phoolon ki mahek Aati Hai 

Aala hazrat ka padhe naatiya deewaan koi. 


Faiz Hassaan banaya unhen Hassaan ul Hind 

 Na zamane me Mila unsa gazal khaan koi.


Ishq e Sarwar ki badolat mila unko ye laqab 

Hind ka kaisa Bane doosra Hassaan koi.


Azmate Mufti E Azam Tu Badi Baat Rahi 

Misle akhtar hi dikhaye mahe tabaan koi.


Parta Wee Taaje Shariat Hain Qaide Millat

Na Mila unsa kahen hamko nighebaan koi.


Baage akhtar ke hain Doo Phool Husaam o humaam 

Dekha hai aur kahen Ayesa gulistaan koi. 


Taabe Hassam o humaam badhen yoon hi sada 

Inme aik dil hai koi aur meri Jaan koi.


Tujh pe Faizaan hai murshid ka mudassir e razvi 

Warna tujh jaisa nahi huga pareshaan koi.









Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment