77. DUSHMAN-E-AHMAD PE SHIDDAT KIJIYE
Dushman-e-Ahmad pe shiddat kijiye,
Mulhidon ki kya murawwat kijiye.
Zikr un ka cheriye har baat mein,
Cherna shaitaan ka aadat kijiye.
Mithle Faras zalzale ho najd mein,
Zikr-e-aayate wilaadat kijiye.
Ghaiz mein jal jaayein be-deeno key dil,
Ya RasoolAllah ki kasrat kijiye.
Kijiye charcha unhi ka subho shaam,
Jaane kafir par qayaamat kijiye.
Aap dargaah-e-Khuda mein hi wajih,
Haan shafaa’at baalo jaahat kijiye.
Haqq tumhein farma chukka apna Habib,
Abb shafaa’at bil-Mohabbat kijiye.
Izn kab ka mil chukka ab to Huzoor,
Hum gharibon ki shafa’at kijiye.
Mulhidon ka shak nikal jaaye Huzoor,
Jaanib-e-mah phir ishaarat kijiye.
Shirk thehre jis mein ta’zime Habib,
Uss bure mazhab pe la’nat kijiye.
Zalimo! Mehboob ka haqq tha yahi,
‘Ishq key badle ‘adaawat kijiye.
Wadduha Hujraat Alam Nashrah sey phir,
Momino! itmaame hujjat kijiye.
Baitthtay utthtay Huzoor-e-Paak sey,
Ilteja-o-iste’aanat kijiye.
Yaa RasoolAllah duhayi aap ki,
Goshmaale ahl-e-bid’at kijiye.
Ghaus-e-Aazam aap sey fariyad hay,
Zinda phir yeh paak millat kijiye.
Yaa Khuda tujh tak hay sab ka muntahaa,
Awliya ko hukm-e-nusrat kijiye.
Mere Aaqa Hazrate Ache Miyan,
Ho RAZA achha woh soorat kijiye.