Pages

zairo paas adab rakho hawas jaane do lyrics

 44. ZAIRO PAAS-E-ADAB RAKHO HAWAS JAANE DO

Zairo paas-e-adab rakhho hawas jaane do,

Aankhein andhi huwi hain unnko taras jaane do.


Sookhi jaati hay ummeed-e-gurba ki kheti,

Boondiya lakka-e-rehmat ki barras jaane do.


Palti aati hay abhi wajd mein jaane sheereen,

Naghma-e-qum ka zara kaano mein ras jaane do.


Hum bhi chaltay hay zara kaafile waalo thehro,

Gathriyaan tosh-e-ummeed ki kas jaane do.


Deed-e-gul aur bhi karti hay qiyamat dil par,

Hum-safeero humein phir sue qafas jaane do.


Aatish-e-dil bhi to bharkaawo adab daa(n) naalo,

Kaun kehta hay ki tum zabte nafs jaane do.


yoon tane zaar key dar pe huwe dil key sho’lo,

Shewa-e-khaanah bar andaziye khas jaane do.


Aay RAZA aah ki yoon sahl katein jurm key saal,

Do ghari ki bhi ibadat to baras jaane do.

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment