19. ZAHE IZZAT-O-A’ETLA-E-MUHAMMAD (SALALLAHU ALAYHI
WASALLAM)
Zahe izzat-o-a’etla-e-Muhammad صلى الله عليه وسلم,
Keh hay arsh-e-Haq zere paa-e-Muhammad صلى الله عليه وسلم.
Makaan arsh unka falak farsh unka,
Malak khaadimaan-e-saraa-e-Muhammad صلى الله عليه وسلم.
Khuda ki RAZA chahte hain do aalam,
Khuda chahta hay RAZA-e-Muhammad صلى الله عليه وسلم.
Ajab kya agar raham farmaein ham par,
Khudaa-e-Muhammad-baraye Muhammad صلى الله عليه وسلم.
Muhammad baraa-e-janaab-e-Ilaahi,
Janaab-e-Ilahi baraa-e-Muhammad صلى الله عليه وسلم.
Basi itr-e-mehboob-e-kibriya sey,
‘Abaaye Muhammad qabaaye Muhammad صلى الله عليه وسلم.
Beham ehed baandhe hain wasl-e-abad ka,
Razaaye khuda aur razaaye Muhammad صلى الله عليه وسلم.
Dam-e-naz’a jaari ho meri zubaan par,
Muhammad Muhammad Khuda-e-Muhammad صلى الله عليه وسلم.
‘Asaa-e-kaleem azdahaa-e-ghazab tha,
Giron ka sahara asaa-e-Muhammad صلى الله عليه وسلم.
Main qurbaan kya pyari pyari hay nisbat,
Ye aane Khuda wo Khuda-e-Muhammad صلى الله عليه وسلم.
Muhammad ka dam khaas beher-e-Khuda hay,
Siwaaye Muhammad baraaye Muhammad صلى الله عليه وسلم.
Khuda unko kis pyaar sey dekhta hay,
Jo aankhein hain mehwe liqa-e-Muhammad صلى الله عليه وسلم.
Juluwo mein ijabat khwaasi mein rehmat,
Barhi kis tazuk sey duaaye Muhammad صلى الله عليه وسلم.
Ijaabat ne jhuk kar galle sey lagaaya,
Barhi naaz sey jab duaay-e-Muhammad صلى الله عليه وسلم.
Ijaabat ka sehra inaayat ka jora,
Dulhan ban key nikli duaaye Muhammad صلى الله عليه وسلم.
RAZA pul sey ab wajd karte guzariye,
Ke hay Rab-e-sallim sadaaye Muhammad صلى الله عليه وسلم.