33. AEK BIJLEE CHAMAK RAHI HAY
Wohi tabassum wahi tarannum wahi nazaakat wahi lataafat
Wohi haiN duz deedah si nigaaheN key jis se shoukhi tapak rahi hai.
GuloN ki khushboo mehek rahi hay diloN ki kaliyaN chatak rahi haiN
NigaaheN uth uth key jhuk rahi haiN key aek bijli chamak rahi hai.
Ye mujh se kehti hay dil ki dhaRhkan key dast-e-saaqi se jaam le le
Woh dour saaghar ka chal raha hay sharaab-e-rangeeN chalak rahi hai.
Ye maine maana haseen-o-dilkash samaaN ye masti bhara hay leykin
Khushi meiN haayl hai fikr-e-fardaa mujhe ye masti khatak rahi hay.
Na jaane kitne fareyb khaaye raah-e-ulfat meiN ham ne AKHTAR
Par apni mat ko bhi kya kareN ham fareyb kha kar behek rahi hai.