Pages

unki mehek ne dil ke ghunche khila diye lyrics

 37. UNKI MAHEK NE DIL KEY GHUNCHEY KHILA DIYE HAIN


Unki mahek ne dil key ghunchey khila diye hain,

Jis raah chal gaye hain, koochey basa diye hain.


Jab aa gayee hay josh-e-rehmat pe unki ankhen,

Jalte bujha diye hain, rote hansa diye hain.


Ik dil hamara kya hay, aazaar uska kitna,

Tum ne to chaltey phirtey, murdey jila diye hain.


Unke nisar koi kaisey hi ranj mein ho,

Jab yaad aa gaye hain, sab gham bhula diye hain.


Hum sey faqir bhi ab pheri ko uthte hongey,

Ab to Ghani key dar par, bistar jama diye hain.


Asra mein guzrey jis dam berey pe qudsiyon key,

Hone lagi salaami, parcham jhuka diye hain.


Aaney do ya dubo do ab to tumhari jaanib,

Kashti tum hi pe chori, langar utha diye hain.


Dulha sey itna kehdo pyarey sawari roko,

Mushkil mein hain baraati, purkhaar baa diye hain.


Allah kya jahannam ab bhi na sard hoga,

Ro, ro key Mustafa ne, dariya baha diye hain.


Mere Karim sey gar qatra kisi ne maanga,

Dariya baha diye hain, durbe baha diye hain.


Mulk-e-sukhan ki shahi tum ko RAZA musallam,

Jis simt aa gaye ho, sikke bitha diye hain.

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment