Pages

Shore mahe nau sun kar tujh tak main dawaan aaya lyrics

 11. SHOR-E-MAH-E-NAU SUN KAR TUJH TAK MAIN DAWAAN AAYA


Shor-e-mah-e-nau sun kar tujh tak main dawaan aaya,

Saaqi mai tere sadqe mai de Ramadaan aaya.


Is gul key siwa har phool ba gosh-e-giraan aaya,

Dekhe hi gayee aay bulbul jab waqt-e-fughaan aaya.


Jab baam-e-tajalli par woh nayyar-e-jaan aaya,

Sar tha jo gira jhuk kar dil tha jo tapaan aaya.


Jannat ko Haram samjha aate to yahan aaya,

Ab tak key har ek ka munh kehta hoon kahaan aaya.


Taiba key siwa sab baagh paa maal-e-fanaa honge,

Dekhoge chaman waalo jab ‘ahd-e-khizaan aaya.


Sar aur woh sang-e-dar aankh aur woh bazm-e-noor,

Zaalim ko watan ka dhyaan aaya to kahaan aaya.


Kuch na’at key tabqe ka ‘aalam hi niraala hay,

Sakte mein pari hay aql chakkar mein gumaan aaya.


Jalti thi zameen kaisi thee dhoop kari kaisi,

Lo woh qad-e-be saaya ab saaya kinan aaya.


Taiba sey ham aate hain kahiye to jinan waalo,

Kya dekh key jeeta hay jo waan sey yahan aaya.


Le toq-e- alam sey ab aazad ho aay qumri,

Chithi liye bakhshish ki woh sarwe-rawaan aaya.


Naamah-sey-RAZA key ab mit jaao bure kaamo,

Dekho mere palle par woh ache miyaan aaya.


Badkaar-RAZA khush ho badkaam bhale honge,

Woh ache miyaan pyaara achon ka miyaan aaya.

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment