23. NAARA-E-RISAALAT
Sadr-e-bazm-e-kasrat Yaa Rasool Allah
Raaz daar-e-wahdat Yaa Rasool Allah
Har jahaN ki rahmat Yaa Rasool Allah
Bahtareen khilqat Yaa Rasool Allah
Naara-e-risaalat Yaa Rasool Allah
Mahw-e-khwaab-e-ghaflat Yaa Rasool Allah
Hogayi ummat Yaa Rasool Allah
Soya bakht-e-millat Yaa Rasool Allah
Kijiye ‘Inaayat Yaa Rasool Allah.
Naara-e-risaalat Yaa Rasool Allah
Sahib-e-hidaayat Yaa Rasool Allah
Chaaya abr-e-zulmat Yaa Rasool Allah
NaatawaaN hay ummat Yaa Rasool Allah
Kijiye himaayat Yaa Rasool Allah.
Naara-e-risaalat Yaa Rasool Allah
Dar pay sharaarat Ya Rasool Allah
Kufr ki jama’at Yaa Rasool Allah
NaatawaaN hai ummat Yaa Rasool Allah
Kijiye himaayat Ya Rasool Allah.
Naara-e-risaalat Yaa Rasool Allah
Maalik-e-shafa’at Yaa Rasool Allah
BekasoN ki taaqat Yaa Rasool Allah
Mezbaan-e-ummat Yaa Rasool Allah
Aek jaam-e-sharbat Yaa Rasool Allah.
Naara-e-risaalat Yaa Rasool Allah
Aap ki ataa’at Yaa Rasool Allah
Woh khuda ki taa’at Yaa Rasool Allah
Jis ko ho baseerat Yaa Rasool Allah
Dekho shaan-e-qurbat Yaa Rasool Allah.
Naara-e-risaalat Yaa Rasool Allah
Deed ke hoN taalib jab Khuda se Moosaa
Un se lan taraani keh dey Rabb tumhara
Par tumhare Rabb se tum ko mere Moulaa
Hay payaam-e-waslat Yaa Rasool Allah.
Naara-e-risaalat Yaa Rasool Allah
Karna tha Khuda ko ham pe aashkara
Aakhri Nabi hai usko sabse pyaara
Koi bhi Nabi ho pichli ummatoN ka
Tum ko sab pe sabqat Yaa Rasool Allah.
Naara-e-risaalat Yaa Rasool Allah
Tum ko jo bataye apne jaisa insaaN
Kour-e-chashm hay woh do jahaaN ke sultaaN
Dev ka hai bandah woh ‘adoo-e-rahmaaN
Jis ko tum se nafrat Yaa Rasool Allah.
Naara-e-risaalat Yaa Rasool Allah
Tum ho noor-e-yazdaaN sham’a-e-bazm-e-imkaaN
Tum ho wajh-e-har shaey dahar ki rag-e-jaaN
Tum se koh-o-sahraa tum se ye gulistaaN
Tum baqaae khilqat Yaa Rasool Allah.
Naara-e-risaalat Yaa Rasool Allah
Deher meiN hay kya shaey tum se jo nihaaN hay
Tum par haal-e-AKHTAR bilyaqeeN ‘ayaaN
Bas meri khamoshi hi meri zubaaN hay
KyaN karuN shikayat Yaa Rasool Allah.
Naara-e-risaalat Yaa Rasool Allah.