53. RAAH-E-ULFAT MEIN
NahiN jaati kisi soorat pareshaani nahiN jaati
Ilaahi! Mere dil ki khaana-e-weeraani nahiN jaati.
Na jaane kis qadar sadmey uthaaye raah-e-ulfat meiN
NahiN jaati magar dil ki woh naadaani nahiN jaati.
Piye bin hi yahaaN masti ka ye ‘aalam ma’azAllah
Qareeb-e-marg bhi woh chaal-e-mastaani nahiN jaati.
HazaaroN dard sehtaa huN isi ummeed meiN AKHTAR
Ke hargiz raaeeNgaaN faryaad-e-roohaani nahiN jaati.