51. KIYA HI ZAWQ AFZAA SHAFA’AT HAY TUMHARI WAAH WAAH
Kiya hi zawq afzaa shafa’at hay tumhari waah waah,
Qarz leti hay gunah parhezgaari waah waah.
Khamah-e-kudrat ka husn-e-dastkaari waah waah,
Kya hi tasweer apne pyaare ki sanwaari waah waah.
Ashk shab bhar intezar-e-afw-e-ummat mein baheyn,
Mein fida chaand aur yoon akhtar shumaari waah waah.
Ungliyaan hain faiz par toote hain pyaase jhoom kar,
Naddiyaan punjaab-e-rehmat ki hay jaari waah waah.
Noor ki khairaat lene daurte hain mehr-o-maah,
Uthti hay kis shaan sey gard-e-sawaari waah waah.
Neem jalway ki na taab aaye qamar saan to sahi,
Mehr aur un talwon ki aayinah daari waah waah.
Nafs ye kya zulm hay jab dekho taaza jurm hay,
Naatwaan key sar pe itna bojh bhari waah waah.
Mujrimo ko dhoondhti phirti hay rehmat ki nigaah,
Taali-e-bargashta teri saazgari waah waah.
Arz bheegi hay shafa’at afw ki sarkaar mein,
Chant rahi hay mujrimon ki fard saari waah waah.
Kya Madinah sey saba aayi key phoolo mein hay aaj,
Kuch nayi boo bheeni bheeni pyaari pyaari waah waah.
Khud rahe parde mein aur aayina akse khaas ka,
Bhej kar anjaano sey ki raahdari waah waah.
Is taraf roze ka noor us simt mimbar ki bahaar,
Beech mein Jannat ki pyaari pyaari kiyaari waah waah.
Sadqe us in’aam key qurbaan us ikraam key,
Ho rahi hay dono ‘aalam mein tumhari waah waah.
Paara-e-dil bhi na nikla dil sey tohfe mein RAZA,
Un sagaane koo sey itni jaan pyaari waah waah.