Pages

Ishq-e-Mawla mein hoon khoon baar kinaar-e-daaman lyrics

 30. ISHQ-E-MAWLA MEIN HOON KHOON BAAR KINAAR-E-DAAMAN


Ishq-e-Mawla mein hoon khoon baar kinaar-e-daaman,

Yaa Khuda jald kahein aaye bahaar-e-daaman.


Beh chali aankh bhi ashkon ki tarah daaman par,

Key nahin taar nazar juz do seh taar-e-daaman.


Ashk barsaaon chale koocha-e-jaanan sey naseem,

Yaa Khuda jald kahin nikle bukhaar-e-daaman.


Dil shudon ka yeh hua daaman-e-athar pe hujoom,

Be dil aabaad hua naam dayaar-e-daaman.


Mushk saa zulf sheh-o-noor fashan rooye Huzoor,

Allah Allah halb-e-jeeb-o-tataar-e-daaman.


Tujh sey aaygul main seetam,deedah-e-dasht-e-harmaan.

Khalash dil ki kahoon ya Gham-e-khaar-e-daaman.


Aks afgan hay hilaal-e-lab-e-sheh jeeb nahin,

Mehr aariz ki shuaaein hain na taar-e-daaman.


Ashk kehte hain yeh shaidayi ki aankhein dho kar,

Aayadab gard-e-nazar ho na ghubaar-e-daaman.


Aay RAZA aah wo bulbul key nazar mein jis ki,

Jalwa-e-jeeb gul aaye na bahaar-e-daaman.

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment