Pages

Arsh ki aqal dang hai lyrics

 68. ‘ARSH KI AQL DANG HAY CHARKH MEIN AASMAAN HAY


‘Arsh ki aql dang hay charkh mein aasmaan hay,

Jaan-e-muraad ab kidhar haaye tera makaan hay.


Bazm-e-sanaa-e-lutf mein meri ‘uroos fikr ko,

Saari bahaar-e-hasht khuld chhota sa ‘itr daan hay.


Arsh pe jaa key murgh-e-aql thak key gira ghash aa gaya,

Aur abhi manzilon pare pehla hi aastaan hay.


Arsh pe taazah cher chaar farsh mein tarfa dhoom dhaam,

Kaan jidhar lagaaiye teri hi daastan hay.


Ik tere rukh ki roshni chain hay do jahaan ki,

Ins ka uns usi sey hay jaan ki woh hi jaan hay.


Woh jo na the to kuch na tha woh jo na ho to kuch na ho,

Jaan hay woh jahaan ki jaan hay to jahaan hay.


Gaud mein ‘aalam-e-shabaab haal-e-shabaab kuch na pooch,

Gulbun-e-baagh-e-Noor ki aur hi kuch utthaan hay.


Tujh sa siyaahkaar kaun un sa shafi’ hay kahaan,

Phir woh tujhi ko bhool jaayein dil ye tera gumaan hay.


Pesh-e-nazar wo nau bahaar sajde ko dil hay be-qaraar,

Rokiye sar ko rokiye haan yahi imtehaan hay.


Shaan-e-Khuda na saath de unke kheraam ka woh baaz,

Sidrah sey taa zameen jise narm si ek uraan hay.


Baare jalaal utthaa liya garche kalejaa shaq huwa,

Yoon to ye maah-e-sabzah rang nazron mein dhaan paan hay.


Khauf na rakh RAZA zara tu to hay ‘abd-e-'Mustafa,

Tere liye amaan hay tere liye amaan hay.

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment