Kalam e Ala Hazrat :
Naare Dozakh Ko Chaman Kar De Bahare Aariz lyrics:
Naare Dozakh Ko Chaman Kar De Bahare Aariz
Zulmat e Hashr ko din ka de Nehare Aariz.
Mai tu kiya cheez hoon khud sahab e quran ko shaha
Laakh Mushaf se pasand Aai Bahar e Aariz.
Kaise Qur'an hai wird is Gol e maheboobi ka
Yoon hi Qur'an ka wazifa hai waqar e Aariz.
Ger chey Qur'an hai na Qur'an ki barabar lakin
Kuch tu hai jis pe hai wo madah e Aariz.
Toor kiya Arsh jale dekh ke wo jalwa e Karam
Aap Aariz Hu magar ayena daare Aariz.
Tarfa Aalam hai wo Qur'an idher dekhen udher
Mashaf e paak ho hairan bahare Aariz.
Tarjuma hai ye saft ka wo khud ayena e zaat
Kiyon ne mashaf se ziyada ho waqar e Aariz.
Jalwa fermayen rukhe dil ki sayahi mit jaye
Subh ho jaye Ilahi shab taar e Aariz.
Naam e Haq per kare maheboob Dil o Jaan qurban
Haq kare Arsh se ta farash nisare Aariz.
Mushk boo zulf se rukh chahra se baloon Main shu Aa
Mujoza hai halb e Zulf o titaare Aariz.
Haq ne bakhsha hai Karam nazre gadayan ho qobol
Piyare ik Dil hai wo karte hain nesaare Aariz.
Aaha be mayaki Dil ke Raza e muhtaaj
Le kar ik Jaan chala bahr e nisaar e Aariz.
Kalam ala Hazrat azeem ul barkat kasooti imam parwana e shamm e risalat Ash sha imam Ahemad Raza Qadri razi Allahu tala anhu. Ki kitab hadaiq e bakhshesh se liya gaya naat sharif Kalam padheye aur jhomiye.
Written by: imam Ahemad Raza Qadri razi Allahu tala anhu
Naat qawan: oweis Raza Qadri sahab
The collection of hadaiq e bakhshesh. Published by book dawate islami in the world of his own website.
The this website write by Mohammed younus raza qadri azhari. Published date 5 /04/2022.