Kalam e janasheen e Ala Hazrat Maulana hamid raza qadri :
Muhammed Mustafa Noore Khuda Naame Khuda Tum Ho
Shahe khairul wara shaane khuda salle alaa tum ho.
Shakeeb e Dil kharar e jaa'n Muhammad Mustafa tum ho
Tabeebe derde Dil tum ho mere Dil ki dawa tum ho.
Gareebon dard mandoon ki dawa tum ho dua tum ho
Faqeeron be nawaoon ki sada tum ho nida tum ho.
Habeeb kibriya tum ho imamul anbiya tum ho
Muhammad Mustafa tum ho Muhammad mujtaba tum ho.
Hamare malja o Mawa hamara aasra tum ho
Thikana be thikano ka shahe her dosara tum ho.
Gareebon ki madad be bas ka bas ruhi fida tum ho
Sahara be saharoon ka hamara Aasra tum ho .
Na koi maah wash tum sa na koi mah jabeen tum sa
Haseeno main hu tum ayese ke maheboob e khuda tu ho.
Main sadqe ambiya ke yoon tu maheboob hain lakin
Jo sub piyaron se piyara hai wo maheboob e khuda tum ho.
Haseeno main tum hi tum ho nabiyoon main tumheen tum ho
Ke maheboob e khuda tum ho nabi yul ambiya tum ho.
Tumahare husne rangeen ke jhalak hai sub haseeno main
Baharoon ki baharoon main bahare janfiza tum ho.
Zameen main hai chamak kis ki falak per Hai jhalak kis ki
Mah qursheed sayiyaron sitaron ki zia tum ho.
Wo lasaani hu tum aaqa nahi Saani koi jis ka
Agar Hai dosra koi tu apna doosra tum ho.
Hu wal awwal hu wal akhir ho waz zaher ho wal batin
Bi kulli Shai in aleem loh e mahefooz e khuda tum ho.
Na hosakte hain doo awwal ne hosakte hain doo akhir
Tum awwal aur akhir, ibteda Tum inteha tum ho.
Khuda kahte nahi banti juda kahte nahi banti
Khuda per isko choda hai wahi Jane kiya tum ho.
Ana min haamid wa haamid raza minni ke jalwoon se
Bi hamdilllha Raza hamid Hain aur hamid Raza tum ho.