Kalam e Hakeem ul ummat Mufti Ahemad yaar khaa'n naeemi rahe matulha alahe
Khak e Madina Huti Main Khak Saar huta
Huti rahe Madina mera gubaar huta.
Aaqa Agar Karam Se Taiba Mujhe Bulate
Rooze Pe Sadqa huta unper nisaar huta.
Wo be kasoon ke Aaqa be kas ko ger Bulate
Kiyon subki tokharon per padker wo khawar huta.
Taiba main ger muyasser do gaz Zameen huti
Unke khareeb basta Dill ko kharar huta.
Mer mit ke khoob lagti metti mere tikhane
Ger unki rah guzar per mera mazaar huta.
Ye Aarzo hai Dill ki huta wo sabz gunbad
Aur main gubaar banker usper nisaar huta.
Be cheen Dill ko abb tak samja buja ke rakha
Magar abb tu is se Aaqa Nahi intezaar huta.
Salik huye ham unke wo bhi huye Hamare
Dill e muztarib ko lakin nahi intezaar huta.
Channel ko ⬇️ subscribe kijiye jazak Allah qaira
https://youtube.com/c/MahammedyounusRazaqadri
Ukhrivi sa'aa datt
Hazrat sayiduna imam beezavi rahe matulha alahe fermate Hain : Jo shaqs Allha paak aur uske rasool sallallahu alai wasallam ki fermaan bardaari karta hai dunya Main uski tareefen Huti Hain Aur akhirat Mai sa'aa dat Mandi se sarfaraaz huga. (Tafseer beezavi)
Maqte ka khulasa
Yani abhi Dil ko ayetebaar Nahi ke hum unke hu bhi Gaye Hain ya Nahi kiyonke khaatma ki khabar nahi.