Pages

ya mustafa ata ho lyrics

 ya mustafa ata ho lyrics


Yaa Mustafa ata ho abb izn hazri ka

Karlon nazara Akar main aapki gali ka.


Ik baar tu dikhado ramzan main Madina

Beshak banalo Aqa mahemaan do ghadi ka.


Rota hua main Aaon dag e jigar dikhaon

Afsana bhi sunaon main apni bekasi ka.


Main Sabz Sabz gunbad ki dekh loon bahareen

Abb izn dedo Aqa tum mujh ko hazri ka.


Maula gaam e Madina dedo gaam e Madina

Deewana tu banad e mujh ko tere Nabi ka.


Ya sayedi Madina! Bas aap hi nibha na

Gohoon bada kamina per hoon tu aap hi ka.


Ya Mustafa gunahon ki adateen nikalo

Jazba mujhe ata ho sunnat ki pairwi ka.


Hoon door abb balayen deta hoon wasta main

Mazloom karbala ki sarkar! Bekasi ka.


Allha hubbe dunya se tu mujhe bachana

Sail hoon ya khuda main ishq e Muhammadi ka.


Faqr o goror se tu maula mujhe bachana

Ya rab ! Mujhe banade paikar tu Ajizi ka.


Iman pe rabb e rahemat deed e tu istaqamat

Deta hoon wasta main tujh ko tere Nabi ka.


Ho her nafs Madina dhadkan main ho Madina

Jab tak na saans toote sarkar zinadagi ka.


Allha isse pahelay Iman pe maut dede nuqsaan mere sabab se ho sunnat e nabi ka.


Ulfat ki bheek dedo deta hoon wasta main

Siddiq ka umer ka Usman ka Ali ka.


Kuch nikiyaan Kamale jald akhirat banale 

Koi nahi bharosa Aye Bhai! Zinadagi ka.


Mezaan pe sub khade Hain amaal tul rahen Hain

Rakh lo bharam khudara! Attar khadri ka.

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment