Pages

Saja Hai Aisa Tera Aastan Gareeb Nawaz Lyrics

 Saja Hai Aisa Tera Aastan Gareeb Nawaz Lyrics


Saja Hai Aisa Tera Aastan Gareeb Nawaz

Nisar uspe Subhi kahe kashaan Gareeb Nawaz.


Tere Dayaar ki Ranayon ke Kiya kahna

Tera Dayaar hai rashk e jina Gareeb Nawaz.


Tu Baag e Sheer e Khuda ka wo phool hai jese

Mahek raha hai ye gulsitaan Gareeb Nawaz.


Tumhi se Hind Main Deen e rasool e Akram ki

Hari Bhari hain sub Taheniya  Gareeb Nawaz.


Jise Tu Chah e Use tu Saltanat Ata karde

Tumhare khadmon Main hain kursiyaan Gareeb Nawaz.


Tumahare Lutfo Karam ko sadaye Deta hai

Sisak Sisak ke Del-E-Naatawa Gareeb Nawaz.


Hozoor Karde Jo Gulzar per nigahe karam

Banay Mera bhi waheen Ashiyaan Gareeb Nawaz.


Dag E Furqate Taiba Qalb Muzmahil Jata lyrics

Kharab Haal Kiya Dil Ko Pur Malal Kiya lyrics

Kuch Kare Apne Yaar Ki Baatein lyrics






Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment