Durood lab par Khayal dil mein Lyrics
Durood lab par khayal Dill main
Aur ashq Ankhon se aarahe Hain
Hozor ke der per ja rahen Hain
Tu is kharene se jaa rahe Hain.
Rasool e Akram Zameen e rab par
kisi taraha hum nibha rahe Hain
Jahan e Tareek main laho se
Charag e ulfat Jala rahe Hain.
Charag Tera hai noor tera
Laho bhi tera badan bhi tera
Ye teri milkiyat hai aqa
Ke hum tu kharza choka rahe Hain.
Hum apni nafsa niyat ke chakar
Tumahara haq kiya Ada karen gee
Bus aik tumahara Karam hai aaqa
Ke jispe takya laga rahe Hain.
Janab e Adam bhi kahe rahe Hain
Madad kisi aur der se maango
Kalim o isa bhi mere aaqa
Tumahari janib hi aarahe Hain.
Main deer se aasakon ga aqa
Gunahon ki gathiriyan ladeen hai
Per Teri rahemat ke aasre per
Khadam khadam badh tee ja rahen Hain.
Barooz e mahesher tumahara mujrim
Tumahari daman main aake chopta
Mager wahan Auliya jama hain
Joo soor sun sun ke aarahe Hain.
Main saqt mayoos hochoka tha
Ke gouse Azam pokar uthey
Ke mere Nana mere muredoon
Ko Jane kabse bola rahe Hain.
Hamara gam khawar bhi hai koi
Kisi ko hamse bhi hai mahabat
Tumahari naaten suna sunakar
Zamane bher ko jata rahe Hain.
Teri gulami ki dawe dari
Tu badsha hi mokhabla hai
Ke ba yazeed o juneed jaise
Shifa risheen le ke aarahe Hain.
Tumahari sarkar e Aala sha main
Huroof e Asharaf ki Aburo Kiya
Wahan to Hassan naat khawan hain
Raza bhi nagmain suna rahe Hain.