Pages

munawwar meri ankhon ko naat lyrics

 munawwar meri ankhon ko tazmeen lyrics


Zaban o gosh ko sare gunahon se safa karden

Jabeen e ishq ko Roshan mere baher e khuda karden 

Mere khalb o jigar ko mere Aakha baa Wafa karden 

Munawwar meri ankhon ko mere shamsuduha karden

Gamon ki dhoop main wo sayaye zulfe data karden.


Nabi siddeq e Akber ko imamul  Atkhiya karden 

Umer Usman ko adalo  wafa ka Ayena karden 

Ali ko misl haron apna Naib Mustafa karden 

Jahan bani ata karden bhari jannat hiba karden 

Nabi mukhter kul hain jis ko jo chahen Ata karden.


Masih e paak jis ko dam se Jaan nao Ata karden 

Mere mukhtar Aqa is ko thoker se Ada karden

Mahir palte khamar shakh ho ishara ger shaha karden

Jahan main unki chalti hai wo dam main Kiya se Kiya karden

Zameen ko Aasman karden suraya ko Sara karden.


Monawwar Arsh ko bhi ker Gaya nakhshe khadam jinka 

Bana jinka na saya kaise phir khaka bane unka 

Lakhab shamsuduha badrudduja  norulhuda unka 

Tabassum se guma guzre  Shab e tareek per dinka 

Zia rukh Se Diwaron ko Roshan Aina karden.


Chalo Aye sunniyon  ka khil Aa Khama karden

Nabi ki Azmaton Namoos per sub kuch fida karden

Sahaba Auliya se apne rishton ko khara karden

Jahan main Aam paigam e Shah e Ahemad Raza karden

Palat ker pichey dekhen  phir se tajdeed e wafa karden.


Mere Ahebab Aao Aaj milkar aik sada karden 

Nabi ka jo hamara wo Ye Ahede Baa wafa karden 

Imam ahamed Raza ke Maslak haq ki jila karden

Nabi Se Jo hai Begana Use Dill se Juda karden

Pidar madar birader maal o jaan unper Fida karden.


Wahabi diyo ke Bandon se ukta Si Gai Dunya

Rawafiz ke Sharar Bazi Se Ukta Si gai Dunya

Sullehe kull Khankhaon Se ukta si Gai dunya

Sage Awaraye Sahera se Ukta si Gai Dunya

Bacahao Abb Zamane ka Sagan e Mustafa karden.


Bala Ayegi kaise abb balain Qadri tujh per

Hozor e khaid e millat ka fast e faiz hai tujh per

Balaoon ko baghata hoon hamesha sheer ye padh ker

Mujhe Kiya fikr hu akhtar mere yawar hain wo ya war

Balaoon ko jo meri khud giraftare Bala karde.


1 comment

  1. Beshak
Please have any doubts, please let me know
Post a Comment