Pages

Qadri Astana Salamat Rahe Mustafa Ka Gharana Salamat Rahe

 

Monqabat


Qadri Astana Salamat Rahe

Mustafa ka Gharana Salamat Rahe


Pal rahe hain jahan se ye dono Jahan

Wo sakhi Astana Salamat Rahe.


Ye nakireen boleen mujhe khabar mai

Mustafa ka diwana Salamat Rahe.


Hukom tha ke Ada ho namaze pachas 

Aap ka Ana jana Salamat Rahe.


Itrat  e Fatima  per ujagar nisar

Sayida  ka Gharana Salamat Rahe.


Jisne  tazeer ki khatam tazeer ki

Wo nabi ka diwana Salamat Rahe.


Dardon mandon ke sar per hai saya figar

Aapka  shami yana Salamat Rahe.


Tumse manssob hai  zinadagi ka nisaab

Hashr tak ye fasana Salamat Rahe.


Jin ke chahire the gamgeen khush Hugaye,

Aapka ka muskrana Salamat Rahe.


Ghous ka shamiyana Salamat Rahe

Qadri Astana Salamat Rahe.


Agaya Agaya jashn e Ghous Al wara

Maosam e Ashikhana Salamat Rahe.


Shaher e bagadad mai auliya agaye

Urs e Ghous e zamana Salamat Rahe.


Ghous ki mahfilen phir se sajne lageen

Sunniyon ka Gharana Salamat Rahe.


Langar e Ghousiya yoon hi chalta rahe

Ghous ka ye khilana Salamat Rahe.


Nila gunbad ujagar mere Ghous ka

Hashr tak jag magana Salamat Rahe.







Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment