Pages

Munawwar Meri Ankhon Ko Mere Shamsudduha Karde Naat Lyrics

          Naat Sharif

 

Munawwar Meri Ankhon Ko

 Mer Shamsudduha karden,

Gamon Ki Dhop main

Wo sayae Zulfe Duta karden.


Jahan baani Ata karden

Bhari jannat Hiba karden,

Nabi mukhtar e kull Hain

Jisko jo chahen Ata karden.


Jahan mai unki chalti hai 

Wo dam main kiya se kiya karden,

Zamee'n ko Asman karden

Surayya ko sara karden.


Nabi mukhtar e kull Hain

Jis ko jo chahen Ata karden.


Faza main udne Wale yon

Na itrain Nida karden,

Wo Jab chahen jise chahen

Use ferman rawan karden.


Nabi mukhtar e kull Hain

Jisko jo chahen Ata karden.


Her aik maoj e bala ko

Mere maula na khuda karden,

Meri mushkil ko yon Asan

Mere muskil kusha karden.


Nabi mukhtar e kull Hain,

Jisko jo chahen Ata karden.


Ata ho be khudi mujh ko

Khudi meri hawa karden,

Mujhe yon apni ulfat main

Mere Maula fana karden.


Nabi mukhtar e kull Hain

Jisko jo chahen Ata karden.


Jahan main Aam paigame 

Shah e Ahmed Raza karden,

Palat ker piche dekhen

Phir se tajdide wafa karden.


Nabi mukhtar e kull Hain

Jisko jo chahen Ata karden.


Nabi se ho jo hai begana 

Use Dill se Juda se karden,

Pidar,madar, biradar,

Malo jaa'n unper Fida karden.


Nabi mukhtar e kull Hain

Jisko jo chahen Ata karden.


Tabasum se gumaa'n guzre

Shab e tareek per din ka,

Ziya e rukh se dewaron

Ko Roshan Aina karden.


Nabi mukhtar e kull Hain

Jisko jo chahen Ata karden.


Kisi ko wo hasate Hain

Kisi ko wo rolate Hain

Wo yonhen azmat e Hain

Wo abb tu faisla karden.


Nabi mukhtar e kull Hain

Jisko jo chahen Ata karden.


Gele taiba main mil jaon 

Gulon mai mil ke ke khil jaon,

Hayat e jaad wani se

mujhe Yon Aashna karden.


Nabi mukhtar e kull Hain

Jisko jo chahen Ata karden.


Ye daor e Azmaish hai 

unhen Manzor hai jab tak

Na chah e tu abhi wo

Qatm e daor e ibtela karden.


Nabi mukhtar e kull Hain

Jisko jo chahen Ata karden.


Sag e awarai sehera se

ukta si gayi dunya,

Bachao Abb zamane ka 

Sagan e Mustafa karden.


Nabi mukhtar e kull Hain

Jisko jo chahen Ata karden.


Mujhe Kiya fikr ho akhtar

Mere yawar hain wo yawar,

Bala'on ko  Jo Meri khud 

Giraftar e bala karden.


Nabi mukhtar e kull Hain

Jisko jo chahen Ata karden.


Sawab ki niyat se channel ko subscribe kijiye jazak allha qaira.

https://youtube.com/channel/UCDtzJRnzMO_BFY49GdQ-9eQ











Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment