36. WOH SU’EY LAALAH ZAAR PHIRTEY HAIN
Woh su’ey laalah zaar phirtey hain,
Tere din aay bahaar phirtey hain.
Jo terey dar sey yaar phirtey hain,
Dar ba dar yoon hi khaar phirtey hain.
Aah kal`aysh to kiye hum ne,
Aaj woh be qaraar phirtey hain.
Un key eemaa sey donon baagon par,
Khayl-e-layl-o-nahaar phirtey hain.
Har charaaghe mazaar par qudsee,
Kayse parwaanah waar phirtey hain.
Us gali kaa gadaa hun main jis mein,
Maangtey taajdaar phirtey hain.
Jaan hain jaan kyaa nazar aaye,
Kyoon `adu gird-e-ghaar phirtey hain.
Phool kyaa dekhoon meri aankhon mein,
Dasht-e-Taibah key khaar phirtey hain.
Laakhon qudsi hain kaam-e-khidmat par,
Laakhon gird-e-mazaar phirtey hain.
Wardiyaan boltey hain har kaarey,
Pehra detey sawaar phirtey hain.
Rakhiye jaise hain khaana zaad hain hum,
Mol key `ayb daar phirtey hain.
Haaye ghaafil woh kyaa jagaah hay jahaan,
Paanch jaatey hain chaar phirtey hain.
Bayen rastey na jaa musaafir sun,
Maal he raah maar phirtey hain.
Jaag sunsaan ban hay raat aayee,
Gurg behr-e-shikaar phirtey hain.
Nafs ye koyi chaal hay zaalim,
Jayse khaasey bijaar phirtey hain.
Koyi kyoon pooche teri baat RAZA,
Tujh sey kutte hazaar phirtey hain.