💞 NAAT SHAREEF 💞
41. RUKH DIN HAY YAA MEHRE SAMAA, YE BHI NAHI WO BHI NAHI
Rukh din hay yaa mehre samaa, ye bhi nahin wo bhi nahin,
Shab zulf ya mushke khuta, ye bhi nahin wo bhi nahin.
Mumkin mai(n) ye qudrat kaha, waajib me(n) abdiyat kaha,
Hairaa(n) hoon ye bhi hay khata, ye bhi nahin wo bhi nahin.
Haq ye key hay ‘abd-e-Ilah aur ‘aalam-e-imkaa(n) key shaah,
Barzakh hay woh sirre Khuda, ye bhi nahin wo bhi nahin.
Bulbul ne gul unko kaha, qumree ne sarv-e-jaan fiza,
Hairat ne jhunjhla kar kaha ye bhi nahin wo bhi nahin.
Khursheed tha kis zour par kya barh key chamka tha qamar,
Be-parda jab wo rukh hua ye bhi nahin wo bhi nahin.
Dar tha key isyaa(n) ki saza ab hogi ya rouze jaza,
Dee unki rehmat ne sadaa ye bhi nahin wo bhi nahin.
Koyi hay naazo zuhad par ya husne tauba hay sipar,
Yaa(n) hay faqat teri ataa ye bhi nahin wo bhi nahin.
Din lahv me khona tujhe, shab subha tak sona tujhe,
Sharme Nabi khaufe Khuda ye bhi nahin wo bhi nahin.
Rizq-e-Khuda khaaya kiya, farmaan-e-Haq taala kiya,
Shukre karam tarse saza ye bhi nahin wo bhi nahin.
Hay bulbule rangee(n) RAZA ya tutiye naghma saraa,
Haq yeh key waasif hay tera ye bhi nahin wo bhi nahin.