NAAT SHAREE
Kyun kar na mere dil mai hu ulfat rasool ki,
Jannat me leke jaigi chahat rasool ki.
Begdi bhi banayen ge
Der per bhi bolainge
Ghabraoo na dewano
Sarkar bulainge
Chalta hon mai bhi khafl e walon roko zara,
Milne do bus mujhe bhi ejazat rasool ki.
Kyon ke apna jana aur hai
Unka bulana aur hai
Milne do bus mujhe bhi ejazat rasool ki.
kiya sabz sabz kunbad ka khoob hai nazara,
Hai kis khadar suhana kaisa hai piyara piyara
*Sarkar ne bula ke Madina dekha diya,
Hugi mujhe naseeb shafa att rasool ki.
Hadees e shareef
Hozor sallho alaihi wasallam fermate hain ke jis ne meri khabr ki ziyarat ki uspe Meri shafa att wajib hogayi.
In Aankhon ka warna koi masraf hi nahi hai,
Sarkar tumara rokhe zaiba nazar na ayee.
*Ya rab dekha de aaj ki shab jalwayee habeeb,
Ek baat to ata ho ziyarat rasool ki.
khabr me sarkar ainyen tu mai khadmon me giron,
Ger fareste bhi uthayee to mai unse yoon kahon.
Abb to payeen naaz se mai aye fareshton kiyon uthon,
Mar ke pahuncha hon yahan is dilroba ke waste.
*Tad paake unke khadmon mai mujh ko girade shaokh,
Ji waqt ho lahad mai ziyarat rasool ki.
6.tu hai gulam unka ubede raza tere,
Mahe shar me hogi sath himayat rasool ki.
Sallo alal habeeb sallho ta ala Muhammad
:;Oweis Raza qadri damat barkat hum:;
Oweis Raza qadri damat barkat hum sanaye Mustafa sallaho ta ala alaihi wasallam hain is me koi chak nahi.
Aap aik bahetreen sana qawan hain. Uske sath sath ishqe Mustafa sallaho ta ala alaihi wasallam ki sana qawani bhateren likh te hain.
Aap likh likh ker ishq e Mustafa sallaho ta ala alaihi wasallam ki sana qawani karte hain.
Aap ko dekh dekh ker sun sun ker naat qwan bante hain.
Allah azwajal hum sub ko ishq e Mustafa sallaho ta ala alaihi wasallam ka jaam pilaye ameen bi jahin nabian ameen.
Sallo alal habeeb sallho ta ala Muhammad.