Khuda ke fazal se hum par hai saya lyrics :
Khuda ke fazal se ham par hai saya gaus e azam ka
Hame dono jahan me hai sahara gaus e azam ka.
خدا کے فضل سے ہم پر ہے سایہ غوثِ اعظم کا
ہمیں دونوں جہاں میں ہے سہارا غوثِ اعظم کا
Hamari laaj kis ke hath hai bagdad wale ke
Mosibat Taal deena kaam kiska gaus e azam ka.
ہماری لاج کس کے ہاتھ ہے بغداد والے کے
مصیبت ٹال دینا کام کس کا غوثِ اعظم کا
Gaye ek waqt me sattar mureedon ke yahan Aaqa
Samjh me Aaa nahi sakta mu'amma Gaus e azam ka.
گئے اِک وقت میں ستر مریدوں کے یہاں آقا
سمجھ میں آ نہیں سکتا مُعَمَّا غوثِ اعظم کا
Wo kahkar khum bi iznillah jila dete hai murdoon ko
Bahut mash hoor hai ahya e mauti gaus e azam ka.
وہ کہہ کر قُمْ بِاِذْنِ اللہ جلا دیتے ہیں مردوں کو
بہت مشہور ہے اِحیائے موتی غوثِ اعظم کا
Fareshte madarse tak saath pahunchane ko jaate they
Ye darbar e ilahi me hai rutba gaus e azam ka.
Na kiyonkar saltanat dono jahan ki unko hasil hoo
Saroon par apne leete hain jo jalwa gaus e azam ka
نہ کیونکر سلطنت دونوں جہاں کی ان کو حاصل ہو
سروں پر اپنے لیتے ہیں جو تلوا غوثِ اعظم کا
Azeezon kar chuko tayyaar jab mere janaze ko
Tu likh dena kafan par naam e wala gaus e azam ka.
عزیزو کرچکو تیار جب میرے جنازے کو
تو لکھ دینا کفن پر نامِ والا غوثِ اعظم کا
Nida deega munadi hashr me yoon qadriyoon ko
Kidhar hain Qadri karleen nazara gaus e azam ka.
ندا دے گا منادی حشر میں یوں قادریوں کو
کدھر ہیں قادری کرلیں نظارہ غوثِ اعظم کا
Jameel e Qadri saujaan se hoo qurban murshid par
Banaya jisne tujh jaise ko banda gaus e azam ka.
جمیلؔ قادری سو جاں سے ہو قربان مرشد پر
بنایا جس نے تجھ جیسے کو بندہ غوثِ اعظم کا
Gulam e qadri qurban apne akhtar par
Banaya ham jaise ku banda gaus e azam ka.
Khuda ke fazle se ham ko milen hain murshidi asjad
Nazar aata hai jinme saaf jalwa gaus e azam ka.