Pages

Sunte hain keh mehshar mein sirf unki rasaai hai lyrics

 75. SUNTEY HAIN KEH MEHSHAR MEIN


Suntey hain keh mehshar mein sirf unki rasaai hay,

Gar unki rasai hay lo jab to ban aayi hay.


Machla hay keh rehmat ne ummeed bandhaayi hay,

Kya baat teri mujrim kya baat banaayi hay.


Sab ne saf-e-mehshar me lalkaar diya hum ko,

Aay bekason key Aaqa ab teri duhayi hay.


Yoon to sab unhi ka hay par dil ki agar poocho,

Yeh toote huwe dil hi khaas unki kamaayi hay.


Zaair gaye bhi kab key din dhalne pe hay pyaare,

Uth mere akele chal kya der lagayi hay.


Baazaare ‘amal mein to sauda nah bana apna,

Sarkaar-e-karam tujh mein ‘aibi ki samaayi hay.


Girte huwon ko muzda sajde me gire Maula,

Ro ro key shafaa’at ki tamheed utthaayi hay.


Aay dil ye sulagna kya jalna hay to jal bhi utth,

Dam ghutne laga zaalim kya dhooni ramaayi hay.


Mujrim ko na sharmawo ehbaab kafan dhak do,

Moonh dekh key kya hoga parde mein bhalaayi hay.


Ab aap hi sambhaalein to kaam apne sambhal jaayein,

Humne to kamayi sab khelon mein gawaayi hay.


Ey ‘ishq tere sadqe jalne sey chhutte saste,

Jo aag bujhaa degi woh aag lagaayi hay.


Hirs-o-hawas-e-bad sey dil tu bhi sitam kar le,

Tu hi nahin baygaana duniya hi paraayi hay.


Hum dil jaley hain kis key hat fitnon key parkaale,

Kyoon phoonk doo(n) ik uff sey kya aag lagayi hay.


Taiba na sahi afzal Makkah hi barraa zaahid,

Hum ‘ishq key bande hain kyoon baat barhaayi hay.


Matla’ mein yeh shak kya tha wallaah RAZA wallaah,

Sirf unki rasaai hay sirf unki rasaai hay.

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment