47. YAAD MEIN JISKI NAHIN HOSH-E-TAN-O-JAAN HUMKO
Yaad mein jiski nahin hosh-e-tan-o-jaan humko,
Phir dikha de woh rukh-e-mehr-e-farozaan humko.
Der sey aap mein aana nahin milta hay hume,
Kya hi khud rafta kiya jalwa-e-jaanaa(n) humko.
Jis tabassum ne gulistan pe girayi bijli,
Phir dikha de woh adaa-e-gul-e-khanda humko.
Kaash aawezaan kandile Madinah ho woh dil,
Jiski sozish ne kiya rashq-e-charagaan humko.
‘Arsh jis khoobi-e-raftaar ka paamal huwa,
Do qadam chal key dikha sarwe khiraamaan humko.
Sham-e-Taybah sey mein parwaana rahoo kab tak door,
Haan jalaa de sharar-e-aatish-e-pinhaan humko.
Khauf hay sam’a-e-kharaashie sage Taybah ka,
Warna kya yaad nahin naala-e-fughaan humko.
Khaaq ho jaayein Dar-e-Paak pe hasrat mit jaaye,
Yaa Ilahi na phira be sar-o-saamaan humko.
Khaar-e-sehraaey-Madinah na nikal jaaye kahin,
Wehshat-e-dil na phira koh-o-bayaaban humko.
Tang aaye hain do aalam teri betabi sey,
Chain lene de tapp-e-seena-e-sozaan humko.
Paaon ghurbaal huwe raah-e-Madinah na mili,
Aay junoon ab to mile rukhsat-e-zindaan humko.
Mere har zakhm-e-jigar sey ye nikalti hay sadaa,
Aay malih-e-arbi kar de namak daan humko.
Saire gulshan sey aseeraan-e-kafas ko kiya kaam,
Na dein taqleef-e-chaman bulbul-e-bustaan humko.
Jab sey aankho me samayi hay Madinah ki bahaar,
Nazar aate hain khizaan deeda-e-gulistan humko.
Gar lab-e-paak sey iqraar-e-shafa’at ho jaye.
yoon na bechain rakhhe joshish-e-isyaan humko.
Nayyare hashr ne ek aag laga rakhhi hay,
Tez hay dhoop mile saya-e-daamaan humko.
Rehm farmaiye Yaa Shah key ab taab nahin,
Taa-bakay khoon rulaye gham-e-hijraan humko.
Chaake daamaan mein na thak jaaiyo aay dast-e-junoon,
Purze karna hay abhi jaib-o-garibaan humko.
Parda us chehra-e-anwar sey utha kar ek baar,
Apna aayina bana aay mah-e-taabaan humko.
Aay RAZA wasf-e-rukh-e-paak sunaane key liye,
Nazar dete hain chaman murgh-e-ghazal khwaan humko.