Pages

Woh chaayi ghata baadah baar-e-madina Lyrics

22. ZAHEY ‘AZMAT-O-IFTEKHAAR-E-MADINAH


Woh chaayi ghata baadah baar-e-madinah

Piye jhoom kar jaaN nisaar-e-madinah.


Woh chamkaa woh chamkaa minaar-e-madinah

Khareeb aaraha hay dayaar-e-madinah.


Naha leN gunaah gaar abr-e-karam meiN

Uthaa dekhiye woh ghubaar-e-madinah.


Khuda yaad farmaaye sougand-e-taybah

Zahey ‘azmat-o-iftekhaar-e-madina.


Agar dekhey RizwaaN chaman zaar-e-taybah

Kahey dekh kar yuN woh khaar-e-madina.

Madine ke kaantey bhi sad rashk-e-gul hay

‘Ajab rang par hay bahaar-e-madina.


NahiN jachti jannat bhi nazroN meiN un ki

JinheN bha gaya khaar-e-zaar-e-madina.


Meri jaan se bhi woh nazdeek tar haiN

Woh Maulaayi har be qaraar-e-madina.


KaruN kya fikr maiN gham-e-zindagi ki

MaiN huN bandah-e-gham gusaar-e-madinah.


Chala dour-e-saaghar maey naab chalki

Rahey tishnah kyuN baadah khwaar-e-madinah.


Chala koun khushboo lutaata ke ab tak

Hai mehki huwi rah guzaar-e-madinah.


Sahar din hai aor sham-e-taybah sahar hay

Anokhey haiN layl-o-nahaar-e-madinah.


Bulaa AKHTAR-e-khasta haal ko bhi dar par

MaiN sadqe tere shehr-e-yaar-e-madinah.

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment