Pages

Uthaa do parda dikhaa do chehra lyrics

1 min read

 69. UTHAA DO PARDA DIKHAA DO CHEHRA


Uthaa do parda dikhaa do chehra key Noor-e-Baari hijaab mein hay,

Zamaana taareek ho raha hay key mehr kab sey niqaab mein hay.


Nahin woh meethi nigaah waala Khuda ki rehmat hay jalwa farma,

Ghazab sey unke Khuda bachaaye jalaal-e-baari ‘etaab mein hay.


Jali-jali bu sey uski paida hay sozish-e-‘ishq-e-chashme-waala,

Kabaab-e-aahu me bhi na paaya mazah jo dil key kabaab mein hay.


Unheen ki bu maaya-e-saman hay unheen ka jalwa chaman chaman hay,

Unheen sey gulshan mehek rahe hain unheen ki rangat gulaab mein hay.


Teri julu mein hay maah-e-Taibah hilaal har marg-o-zindagi ka!,

Hayaat jaa(n) ka rikaab mein hay mamaate aa’da ka daab mein hay.


Siyaah libaasaan-e-daar dunya wa sabz-poshaan-e-‘arshe aa’laa,

Har ik hay unke karam ka pyaasa ye faiz unki janaab mein hay.


Woh gul hay lab-haaye naazuk unke hazaaron jharte hain phool jinse,

Gulaab gulshan mein dekhe bulbul yeh dekh gulshan gulaab mein hay.


Jali hay soz-e-jigar sey jaa(n) tak hay taalib-e-jalwa-e-mubaarak,

Dikha do wo lab key aab-e-haiwaa(n) key lutf jinke khitaab mein hay.


Khare hain Munkar Nakeer sar par na koi haami na koi yaavar!,

Bataa do aakar mere Payambar key sakht mushkil jawaab mein hay.


Khuda-e-qahhaar hay ghazab par khule hein bad-kaariyo(n) key daftar,

Bachaa lo aa kar shafi’-e-mehshar tumhaara bandah ‘azaab mein hay.


Kareem aisa mila key jiske khule hain haath aur bhare khazaane,

Batao aay mufliso! keh phir kyun tumhaara dil izteraab mein hay. 


Gunaah ki taareekiyaan ye chaayien umand key kaali ghataaein aaein,

Khuda kay khursheed mehr farmaa key zarra bas izteraab mein hay.


Kareem apne karam ka sadqa la-eeme be qadr ko na sharmaa,

Tu aur RAZA sey hisaab lena RAZA bhi koi hisaab mein hay.

You may like these posts

  •  67. MUZHDAH BAAD AAY ‘AASIYO, SHAAFI’ SHAH-E-ABRAAR HAY Muzhdah baad aay ‘aasiyo, shaafi’ shah-e-abraar hay, Tahniyat aay mujrimo! Zaat-e-Khuda Ghaffaar hay. ‘Arsh saa f…
  •  62. AANKHEIN RO RO KEY SUJAANE WAALE Aankhein ro ro key sujaane waale, Jaane waale nahin aane waale. Koi din mein ye sara awjarh hay, Arey-o-chhaaoni chhaane waale. Zaba…
  •  71. GUNEHGAARON KO HAATIF SEY NAWEED-E-KHUSH MA’AALI HAYGunehgaaron ko haatif sey naweed-e-khush ma’aali hay, Mubarak ho shafaa’at key liye Ahmad saa waali hay.Qaza haqq hay…
  •  68. ‘ARSH KI AQL DANG HAY CHARKH MEIN AASMAAN HAY‘Arsh ki aql dang hay charkh mein aasmaan hay, Jaan-e-muraad ab kidhar haaye tera makaan hay. Bazm-e-sanaa-e-lutf mein meri ‘…
  •  63. KYA MAHEKTAY HAIN MEHEKNEY WALEYKya mahektay hain mehekney waley, Boo pe chaltay hain bhatakney waley. Jag-maga uthi meri gor ki khaak, Tere qurbaan chamakney waley. Mah-…
  •  69. UTHAA DO PARDA DIKHAA DO CHEHRAUthaa do parda dikhaa do chehra key Noor-e-Baari hijaab mein hay, Zamaana taareek ho raha hay key mehr kab sey niqaab mein hay.Nahin woh me…

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment