Pages

Sar ta ba qadam hay tan-e-sultaan-e-zaman phool lyrics

 26. SAR TA BA QADAM HAY TAN-E-SULTAAN-E-ZAMAN PHOOL


Sar ta ba qadam hay tan-e-sultaan-e-zaman phool,

Lab phool dahan phool zaqan phool badan phool.


Sadqe mein tere baagh to kya laaye hain ban phool,

Iss ghuncha-e-dil ko bhi to emaa ho key ban phool.


Tinka bhi hamaare to hilaaye nahi hilta,

Tum chaaho to ho jaaye abhi koh-e-mihan phool.


WAllah jo mil jaaye mere gul ka paseena,

Maange na kabhi itr na phir chahe dulhan phool.


Dil basta-o-khoon gushtah na khushboo na lataafat,

Kyoon ghuncha kahoon hay mere Aaqa ka dahan phool.


Shab yaad thi kin daanton ki shabnam key dam-e-subah,

Shokhaan-e-bahaari key juraao hain kiran phool.


Dandaan-o-lab-o-zulf-o-rukh-e-sheh key fidaayi,

Hain dur-e-adan la’al-e-yaman mushk-e-khutan phool.


Boo ho key nihaan hogaye taab-e-rukh-e-sheh mein,

Lau ban gaye hain ab to haseenon ka dahan phool.


Hoon baar-e-gunaah sey na khajal dosh-e-azeezaan,

Lillah meri na’ash kar aay jaan-e-chaman phool.


Dil apna bhi shaidayi hay us naakhun-e-paa ka,

Itna bhi mah-e-nau pe na aay charkh-e-kohan phool.


Dil khol key khoon role gham-e-aariz-e-sheh mein,

Nikle to kahin hasrat-e-khoon na ba shudan phool.


Kya ghaazah mila garde Madinah ka jo hay aaj,

Nikhre hue jo ban mein qiyamat ki phaban phool.


Garmi yeh qiyamat hay key kaante hain zubaan par,

Bulbul ko bhi aya saaqi-e-sehba-o-laban phool.


Hay kaun keh girya kare ya fatiha ko aaye,

Bekas kay uthaye teri rehmat kay bharan phool.


Dil gham tujhe ghere hain khuda tujh ko wo chamkaye,

Sooraj tere khirman ko bane teri kiran phool.


Kya baat RAZA is chamanistaan-e-karam ki,

Zahra hay kali jis mein Hussain aur Hasan phool.

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment