29. SARKAR-E-DO ‘AALAM KI MOHABBAT
NihaaN jis dil meN Sarkar-e-do ‘aalam ki mohabbat hay
Woh khalwat khana-e-maulaa hay woh dil rashk-e-jannat hay.
Khalaaiq par huwi roshan azal se ye haqiqat hay
Do ‘aalam meiN tumhari saltanat hay baadshahat hay.
Khudaa ne yaad farmaayi qasam khaak-e-kaf-e-paa ki
Huwa m’aloom taybah ki do ‘aalam par fazilat hay.
Siwaaye mere Aaqa ke sabhi ke rishtey hay faani
Woh qismat ka sikandar hai jisey Aaqa se nisbat hay.
Yehi kehti hay rindoN se nigah-e-mast saaqi ki
Dar-e-maykhaanah waa hay maykashoN ki ‘aam d’aawat hay.
Gham-e-Shaah-e-danaa meiN marney waale tera kya kehna
Tujhe laa tahzanoo ki tere maulaa se bashaarat hay.
Uthey shour-e-mubarakbaad un se jaa milaa AKHTAR
Gham-e-jaanaN meiN kis darjah haseeN anjaam-e-furqat hay