Pages

Gham ho gaye beshumaar Aaqa lyrics

 6. GHAM HO GAYE BESHUMAAR AAQA


Gham ho gaye beshumaar Aaqa,

Bandah tere nisaar Aaqa.


Bigraa jaata hay khel mera,

Aaqa Aaqa sanwaar Aaqa.


Manjhdaar pe aake naaw tooti,

De haath key hoon main paar Aaqa.


Tooti jaati hay peeth meri,

Lillah ye bojh utaar Aaqa.


Halka hay agar hamara palla,

Bhaari hay tera waqaar Aaqa.


Majboor hain ham to fikr kya hay,

Tum ko to hay ikhtiyaar Aaqa.


Main door hoon tum to ho mere paas,

Sun lo meri pukaar Aaqa.


Mujh sa koi ghamzadah na hoga,

Tum sa nahin gham gusaar Aaqa.


Girdaab me par gayi hay kashti,

Dooba dooba utaar Aaqa.


Tum woh key karam ko naaz tum sey,

Main woh key badi ko aar Aaqa.


Phir munh na pare kabhi khizaan ka,

De de aisi bahaar Aaqa.


Jis ki marzi Khuda na taale,

Mera hay woh naamdaar Aaqa.


Hay mulk-e-Khuda pe jiska qabza,

Mera hay woh kaamgaar Aaqa.


Soya kiye naabakaar bande,

Roya kiye zaar zaar Aaqa.


Kya bhool hay unke hote kehlaaein,

Duniya kay yeh Taajdaar Aaqa.


Unke adna gadaa pe mit jaayein,

Aise aise hazaar Aaqa.


Be abr-e-karam key mere dhabbe,

La taghsiluhaa-al-bihaar Aaqa.


Itni rehmat RAZA pe kar lo,

La yaqrubuhu-ul-bawaar Aaqa.

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment