Maqbool Dua Karna, Manzoor Sana Karna
Maqbool Dua Karna, Manzoor Sana Karna
Midhat Ka Sila Deyna, Maqbool Sana Karna.
Dil Zikr e Shareef Unka, Har Subho Masa Karna
Din Raat Japaa Karna, Har Aan Rat’aa Karna.
Seene Pe Qadam Rakhna, Dil Shaad Mera Karna
Dard e Dil e Muztar Ki, Sarkaar Dawa Karna.
Sansaar Bhikaari He, Jag Daata Daya Karna
He Kaam Tumhara Hee, Sarkaar Ataa Karna.
Kab Aap Ke Kooche Me, Mangta Ko Sada Karna
Khud Bheek Liye Tum Ko, Mangta Ko Nida Karna.
Din Raat He Taiba Me, Dawlat Ka Lut’a Karna
Mangta Ki Dawa Karna, Mangta Ka Bhalaa Karna.
Hum Ain e Jafa Hee Haiñ, Hum Ko To Jafa Karna
Awr Tum To Karam Hum Par, Ai Jaan e Wafa Karna.
Din Raat Khata-oñ Par, Hum Ko He Khata Karna
Awr Tum Ko Ataa-oñ Par, Har Dum He Ataa Karna.
Hum Apni Khata-oñ Par, Naadim Bhi Nahiñ Hote
Awr Un Ko Ataa-oñ Par, Har Baar Ataa Karna
He Aath Peher Jaari, Langar Mere Daata Ka
Har Aan He Sarkaari, Baar’ay Ka Lut’a Karna
Mahroom Nahiñ Jis Se, Makhlooq Me Ko-ee Bhi
Wo Faiz Unheñ Dena, Wo Jood o Sakha Karna
He Aaam Karam Unka, Apne Hoñ, Ke Hoñ A’daa
Aata Hee Nahiñ Goya, Sarkaar Ko Laa Karna.
Mahroom Gaya Ko-ee, Maayoos Phira Ko-ee
Dekha Na Suna Unka, Inkaar o Ibaa Karna
Maayoos Gaya Ko-ee, Mahroom Phira Ko-ee
Dunya Ke Salaateeñ Ko, Kab Aaya Ataa Karna.
Dukh Dard Kaheñ Kis Se, Ye Kaam To Haiñ Un Ke
Faryaad Suna Karna, Awr Daad Diya Karna
Wal’laah Wo Sun Lenge, Awr Dil Ki Dawa Denge
Be Kaar Na Jaa-ega, Faryaad o Bukaa Karna.
A’daa Ko Khuda Waala, Jub Tum Ne Bana Daala
Dushwaar He Tum Par Kya, Mujh Bud Ka Bhalaa Karna
Soohkhi He Meri Kheyti, Par’ Jaa-e Bharan Teri
Ay Abr e Karam Itna, Tu Bahr e Khuda Karna
Jo Sokhta Hayzam Ko, Chaaho To Hara Kar Do
Mujh Sokhta Jaañ Ka Bhi, Dil Pyaare Hara Karna
Taiba Me Bula Lena, Awr Apna Bana Lena
Qaidi Gham E Furqat Ke, Sarkaar Riha Karna
Hum Arz Kiye Jaa-eñ, Sarkaar Sunay Jaa-eñ
Kya Door Karam Se He, Din Aisa Shaha Karna
Sang e Dar e Sarwar Par, Rakh’kha Huwa Ho Ye Sar
Ay Kaash Ho Qismat Me, Is Tarha Qaza Karna
Khil Jaa-eñ Chaman Dil Ke, Awr Huzn Mit’eñ Dil Ke
Taiba Se Sabaa Aa Ke, Imdaad Zara Karna
Har Daagh Mit’aa Dena, Awr Dil Ko Shifa Dena
Aa-ina Bana Dena Aisi To Jilaa Karna
Sarwar He Wahee Sarwar, Ay Sarwar e Har Sarwar
He Aap Ke Qadmoñ Par, Sar Jis Ko Fida Karna
Lillah Hameñ Maula, Daaman Ke Talay Le Lo
Hum Kaisi Balaa Me Haiñ, Haañ Radd e Balaa Karna
He Pyaas Se Haal Abtar, Nikli He Zabaañ Baahar
Ik Jaam Mujhe Sarwar, Kawthar Ka Ataa Karna
Dunya Banay Ya Bigr’e, Dunya Rahe Ya Jaa-e
Tu Deen Banaa Pyaare, Dunya Ka He Kya Karna
Khaaya Piya Awr Pehna, Ach’choñ Se Raha Ach’cha
Kuch Deen Ka Bhi Kar Le, Dunya Ka He Kya Karna
Qismat Me Gham e Dunya, Jannat Ka Qabaalah Ho
Taqdeer Me Likha Ho, Jannat Ka Maza Karna.
Moosa Huwe Ghash Jis Se, Awr Toor Jalaa Jis Se
Wo Jalwa Mere Dil Par, Ay Noor e Khuda Karna
Barbaad Na Ho Mit’tee, Is Khaak Ke Putlay Ki
Allah Mujhe Un Ki, Khaak e Kaf e Paa Karna
Kyuñ Naqsh E Kaf e Paa Ko, Dil Se Na Lagaa-e Wo
He Aa-ina e Dil Ki Noori Ko Jilaa Karna