52. ROUNAQ-E-BAZME JAHAAN HAY AASHIQAN-E-SOKHTA
Rounaq-e-bazme jahaan hay aashiqan-e-sokhta,
Keh rahi hay sham’a ki goyaa zabaan-e-sokhta.
Jisko qurse mehr samjha hay jahaa(n) ay mun’imo,
Unke khwaan-e-jood sey hay ek naan-e-sokhta.
Maah-e-mann yeh nayyar-e-mehshar ki garmi ta-bakey,
Aatish-e-isyaa(n) me khud jalti hay jaan-e-sokhta.
Barq-e-angusht-e-Nabi chamki thi uss par ek baar,
Aaj tak hay seena-e-maah me nishaan-e-sokhta.
Mehr-e-‘aalam taab jhukta hay paye tasleem roz,
Peshe zarraate mazaar-e-bedlaan-e-sokhta.
Koocha-e-gesu-e-jaanaan sey chale thandi naseem,
Baal-o-par afshaan ho Yaa Rab bulbulaan-e-sokhta.
Bahre Haq aay bahre rehmat ik nigah-e-lutfbaar,
Taa-ba-key be aab tadpe maahiyaane sokhta.
Ru-kashe khursheede mehshar ho tumhare faiz sey,
Ik sharaare seena-e-shaidaiyaane sokhta.
Aatishe tar daamani ne dil kiye kya kya kabaab,
Khizr ki jaan ho jila do maahiyaane sokhta.
Aatish-e-gulhaa-e-Taibah par jalaane key liye,
Jaan key taalib hain pyaare bulbulaane sokhta.
Lutf-e-barqe jalwa-e-me’raj laaya wajd me,
Sho’la-e-jaww aala saa(n) hay aasmaan-e-sokhta.
Aay RAZA mazmoon soz-e-dil ki rif'at ne kiya,
Is zameen-e-sokhta ko aasmaan-e-sokhta.